mohabbat aur gham
sūraj ne apnī dhuup kā naam mohabbat rakhā
aur chāñd ne apnī chāñdnī kā naam ġham
dhuup tab se har shai meñ jaan phūñktī jaatī hai
aur chāñdnī raat bhar mohabbat se aTe diloñ ko
kajlātī jaatī hai
ye din raat kā pherā jāvedāñ rahe
jāvedāñ rahe ye mohabbat
ye ġham jāvedāñ rahe
suraj ne apni dhup ka nam mohabbat rakha
aur chand ne apni chandni ka nam gham
dhup tab se har shai mein jaan phunkti jati hai
aur chandni raat bhar mohabbat se aTe dilon ko
kajlati jati hai
ye din raat ka phera jawedan rahe
jawedan rahe ye mohabbat
ye gham jawedan rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.