nasl-e-nau ke liye
zindagī kyoñ milī is kā maqsad hai kyā
ham ne jaanā nahīñ
zindagī sirf rangīñ fasāna nahīñ
is kī nazroñ meñ sho'loñ kī garmī bhī hai
ham ko jhulsā na de
is ke har moḌ par hādsoñ ke bhañvar
gher leñge hameñ
phir bhī har moḌ par muskurāte hue
hausloñ ke diye ham jalāte chaleñ
jaane vāloñ ne ham ko diye haiñ charāġh
ham laveñ aur in kī baḌhāte chaleñ
aane vāloñ ko ghereñ na tārīkiyāñ
is zamāne ko raushan banāte chaleñ
har añdhere ke sar ko qalam kar ke ham
is jahāñ meñ ujāle basāte chaleñ
jaane vāloñ ne jhele haiñ sadme ka.ī
ġham nahīñ ham bhī kuchh ġham uThāte chaleñ
qaum-o-maz.hab kī takrār be-faiz hai
parcham-e-amn ko lahlahāte chaleñ
ham ko apne se jaisā zamāna milā
ham use aur dilkash banāte chaleñ
apne hoñToñ pe har baat sauġhāt ho
ham vafāoñ kī fasleñ ugāte chaleñ
dil se jab dil mileñ phuul in meñ khileñ
pyaar kī bastiyāñ ham basāte chaleñ
zindagī ke liye maut kī raah se bhī
guzarnā paḌe to guzar jaa.eñ ham
apnī manzil ko har haal meñ paa.eñ ham
zindagī kī ye rāheñ bahut saḳht haiñ
ham ko chalnā bhī hai
vaqt jismoñ ko jhulsā rahā hai to kyā
ham ko chalnā bhī hai
zindagī chaar din hī sahī
chand pal hī sahī
sāthiyo ik hasīñ kaam kar jaa.eñ ham
nasl-e-nau ke liye ḳhvāb koī buneñ
koī ḳhāka hasīñ us ko de jaa.eñ ham
nasl-e-nau ārzūeñ na.ī lā.egī
ham se jo ho na paayā vo kar jā.egī
apne ḳhāke meñ vo rang bhar jā.egī
zindagi kyon mili is ka maqsad hai kya
hum ne jaana nahin
zindagi sirf rangin fasana nahin
is ki nazron mein sho'lon ki garmi bhi hai
hum ko jhulsa na de
is ke har moD par hadson ke bhanwar
gher lenge hamein
phir bhi har moD par muskuraate hue
hauslon ke diye hum jalate chalen
jaane walon ne hum ko diye hain charagh
hum lawen aur in ki baDhate chalen
aane walon ko gheren na tarikiyan
is zamane ko raushan banate chalen
har andhere ke sar ko qalam kar ke hum
is jahan mein ujale basate chalen
jaane walon ne jhele hain sadme kai
gham nahin hum bhi kuchh gham uThate chalen
qaum-o-mazhab ki takrar be-faiz hai
parcham-e-amn ko lahlahate chalen
hum ko apne se jaisa zamana mila
hum use aur dilkash banate chalen
apne honTon pe har baat saughat ho
hum wafaon ki faslen ugate chalen
dil se jab dil milen phul in mein khilen
pyar ki bastiyan hum basate chalen
zindagi ke liye maut ki rah se bhi
guzarna paDe to guzar jaen hum
apni manzil ko har haal mein paen hum
zindagi ki ye rahen bahut saKHt hain
hum ko chalna bhi hai
waqt jismon ko jhulsa raha hai to kya
hum ko chalna bhi hai
zindagi chaar din hi sahi
chand pal hi sahi
sathiyo ek hasin kaam kar jaen hum
nasl-e-nau ke liye KHwab koi bunen
koi KHaka hasin us ko de jaen hum
nasl-e-nau aarzuen nai laegi
hum se jo ho na paya wo kar jaegi
apne KHake mein wo rang bhar jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.