nazr-e-mirza-ghaalib
Interesting Fact
مرزا غالب کالج گیا کے سمینار میں پڑھی گئی نظم
vo ġhālib kal bhī thā aur aaj bhī kal bhī vahī ġhālib
nahīñ hai hone vaalā dūsrā ab koī bhī 'ġhālib'
vo kal kī shā'irī ho aaj kī ho yā kabhī kī ho
hai ġhālib har zamāne meñ tumhārī shā'irī 'ġhālib'
tumhāre she'r meñ mafhūm-o-mā’nī kā jahāñ pinhāñ
hai bahr-e-bekarāñ sach-much tumhārī guftanī 'ġhālib'
koī bhī she'r fitrat se alag ho kar nahīñ likkhā
haqīqat par tumhārī shā'irī mabnī rahī 'ġhālib'
tumhārī gul-fishānī thī ḳhizāñ ke daur meñ jaarī
kaTī kitnī musībat meñ tumhārī zindagī ġhālib
ka.ī beToñ kī pai-dar-pai judā.ī bhī sahī tum ne
tumhāre sabr-o-zabt-e-nafs ke qaa.il sabhī ġhālib
tumhārā lahja bhī andāz bhī uslūb bhī be-misl
tumhārī jaisī maiñ DhūñDūñ kahāñ se shā'irī 'ġhālib'
latāfat kā fasāhat kā balāġhat kā hai tū mūjid
tū lafzoñ kā ishāroñ kā kināyoñ kā dhanī 'ġhālib'
davā-e-dard-e-dil ke tum na minnat-kash hue chūñki
tumhāre 'ishq meñ tum par rahī apnī ḳhudī ġhālib
hai fariyādī tumhārā naqsh har fariyād par bhārī
sadāoñ par tumhārī hai sadā-e-dā.imī 'ġhālib'
mare but-ḳhāna meñ to gaaḌo kā'be meñ barahman ko
junūn-e-'ishq aisā kaun ab paa.e kabhī 'ġhālib'
tumhārī shā'irī kī dhuum hai saare zamāne meñ
bahādur shaah kī mahfil meñ bhī sab par rahī ġhālib
haiñ bālā-tar tumhāre she'r kitne 'aam zehnoñ se
magar hotī rahī alfāz kī jādūgarī ġhālib
tumhārī nazroñ se koī na sūrat bach sakī 'ġhālib'
tumhāre zauq kī vijdānī-o-nudrat kā kyā kahnā
ki zaḳhmoñ ke namak palkoñ se chunte the kabhī 'ġhālib'
uThāyā sang thā to kyoñ nahīñ pheñkā thā majnūñ par
laḌakpan hī se tum par fikr kyoñ sar kī rahī 'ġhālib'
na chhūTī mai kabhī chakkar na kū-e-yār kā chhūTā
magar chhūTā nahīñ hāthoñ se dāmān-e-ḳhudī 'ġhālib'
hazāroñ shā'iroñ ne kitne dīvān apne chhapvā.e
magar ik dhaak bas dīvān-e-'ġhālib' kī rahī ġhālib
tasavvur aaj 'ġhālib' kā 'hasan' ke zehn par ġhālib
ba-nām-e-mirzā-'ġhālib' sab pe ye mahfil huī ġhālib
wo ghaalib kal bhi tha aur aaj bhi kal bhi wahi ghaalib
nahin hai hone wala dusra ab koi bhi 'ghaalib'
wo kal ki sha'iri ho aaj ki ho ya kabhi ki ho
hai ghaalib har zamane mein tumhaari sha'iri 'ghaalib'
tumhaare she'r mein mafhum-o-ma’ni ka jahan pinhan
hai bahr-e-bekaran sach-much tumhaari guftani 'ghaalib'
koi bhi she'r fitrat se alag ho kar nahin likkha
haqiqat par tumhaari sha'iri mabni rahi 'ghaalib'
tumhaari gul-fishani thi KHizan ke daur mein jari
kaTi kitni musibat mein tumhaari zindagi ghaalib
kai beTon ki pai-dar-pai judai bhi sahi tum ne
tumhaare sabr-o-zabt-e-nafs ke qail sabhi ghaalib
tumhaara lahja bhi andaz bhi uslub bhi be-misl
tumhaari jaisi main DhunDun kahan se sha'iri 'ghaalib'
latafat ka fasahat ka balaghat ka hai tu mujid
tu lafzon ka ishaaron ka kinayon ka dhani 'ghaalib'
dawa-e-dard-e-dil ke tum na minnat-kash hue chunki
tumhaare 'ishq mein tum par rahi apni KHudi ghaalib
hai fariyaadi tumhaara naqsh har fariyaad par bhaari
sadaon par tumhaari hai sada-e-daimi 'ghaalib'
mare but-KHana mein to gaDo ka'be mein barahman ko
junun-e-'ishq aisa kaun ab pae kabhi 'ghaalib'
tumhaari sha'iri ki dhum hai sare zamane mein
bahadur shah ki mahfil mein bhi sab par rahi ghaalib
hain baala-tar tumhaare she'r kitne 'am zehnon se
magar hoti rahi alfaz ki jadugari ghaalib
tumhaari nazron se koi na surat bach saki 'ghaalib'
tumhaare zauq ki wijdani-o-nudrat ka kya kahna
ki zaKHmon ke namak palkon se chunte the kabhi 'ghaalib'
uThaya sang tha to kyon nahin phenka tha majnun par
laDakpan hi se tum par fikr kyon sar ki rahi 'ghaalib'
na chhuTi mai kabhi chakkar na ku-e-yar ka chhuTa
magar chhuTa nahin hathon se daman-e-KHudi 'ghaalib'
hazaron sha'iron ne kitne diwan apne chhapwae
magar ek dhak bas diwan-e-'ghaalib' ki rahi ghaalib
tasawwur aaj 'ghaalib' ka 'hasan' ke zehn par ghaalib
ba-nam-e-mirza-'ghaalib' sab pe ye mahfil hui ghaalib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.