Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nind

MORE BYAzeemuddin Ahmad

    ai tabīb-e-alam-e-mahrūmāñ

    chāra-farmā-e-humūm-o-afkār

    tujh se āshufta-sarī darmāñ

    haiñ shifāyāb tujhī se bīmār

    hai mudabbir nature ke shifā-ḳhāne

    lā-raib hai mai ziist ke paimāne

    bā'is-e-ḳhurramī-o-ḳhush-hālī

    ḳhastā-hāloñ ke liye ek iksīr

    kaayā nature palaTne vaalī

    aap be-shub.ha hai apnī nazīr

    sitam jo zāhir meñ hai bātin meñ hai rūh-afzā

    maut zāhir meñ hai bātin meñ sabab jiine

    dahr ne jin ko satā rakkhā hai

    jin ko hai ziist har lahza vabāl

    jin ko nākāmiyoñ ne gherā hai

    jin ko duniyā meñ na sarvat hai na maal

    aisoñ ġham ġhalat ik do ghaḌī kartī hai

    dast-e-shafqat dil-e-pazh-murda pe dhartī hai

    jo haiñ mast-e-mai-e-'ishrat un

    zindagī be-tire hotī hai harām

    hai ġharaz sab ko zarūrat terī

    chain tujh se hai tujhī se ārām

    chāñdnī shab nam-e-shabnam meñ mazā tere sabab

    pyārī pyārī nazar aatī hai sabā tere sabab

    ai tabib-e-alam-e-mahruman

    chaara-farma-e-humum-o-afkar

    tujh se aashufta-sari ka darman

    hain shifayab tujhi se bimar

    hai mudabbir tu hi nature ke shifa-KHane ki

    tu hi la-raib hai mai zist ke paimane ki

    ba'is-e-KHurrami-o-KHush-haali

    KHasta-haalon ke liye ek iksir

    kaya nature ki palaTne wali

    aap be-shubha hai tu apni nazir

    sitam jo zahir mein hai baatin mein hai tu ruh-afza

    maut zahir mein hai baatin mein sabab jine ka

    dahr ne jin ko sata rakkha hai

    jin ko hai zist ka har lahza wabaal

    jin ko nakaamiyon ne ghera hai

    jin ko duniya mein na sarwat hai na mal

    aison ka gham ghalat ek do ghaDi karti hai tu

    dast-e-shafqat dil-e-pazh-murda pe dharti hai tu

    jo hain mast-e-mai-e-'ishrat un ki

    zindagi be-tire hoti hai haram

    hai gharaz sab ko zarurat teri

    chain tujh se hai tujhi se aaram

    chandni shab nam-e-shabnam mein maza tere sabab

    pyari pyari nazar aati hai saba tere sabab

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

    Speak Now