qismat
jitne din tū saath rahā hai
shāmoñ ne mad.hosh havā ke hāthoñ
shafaq kī laalī bhejī thī
jis meñ pyaar ḳhumār basā thā
bhīge gītoñ ke gajre the
Dhaltā din parbat ke pīchhe chhup kar
ham ko hañste dekhā kartā
aur havā kā ḳhud-sar jhoñkā
ham donoñ ko chhū kar
jaane kyoñ be-ḳhud sā ho kar
phūloñ kī āġhosh meñ jā girtā
jhīloñ ke ā.īne
dekh ke ham ko hairāñ hote
baat baat par qurbāñ hote
aur ab terā saath nahīñ hai
hāthoñ kī rekhā.eñ bolīñ
qismat tere haath nahīñ hai
jitne din tu sath raha hai
shamon ne madhosh hawa ke hathon
shafaq ki lali bheji thi
jis mein pyar KHumar basa tha
bhige giton ke gajre the
Dhalta din parbat ke pichhe chhup kar
hum ko hanste dekha karta
aur hawa ka KHud-sar jhonka
hum donon ko chhu kar
jaane kyon be-KHud sa ho kar
phulon ki aaghosh mein ja girta
jhilon ke aaine
dekh ke hum ko hairan hote
baat baat par qurban hote
aur ab tera sath nahin hai
hathon ki rekhaen bolin
qismat tere hath nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.