rāsta koī nahīñ
bas sannāToñ kī lambī qatāreñ haiñ
har moḌ par bikhrī huī
ummīdoñ kī bujhtī chingāriyāñ
kabhī kisī dar par dastak dī thī
sochā thā koī lauTegā shāyad
magar vaqt
darvāza bhī saath le gayā
ab in galiyoñ meñ
sirf mere qadmoñ kī aahaT hai
jaise dil har baar
ḳhud se ek savāl kartā ho
kitnī rāheñ dekhegā
jise lauTnā nahīñ thā
usī kī raah takte rahe 'umr bhar
jaise koī buuñd
sūkhe dariyā se mohabbat maañg rahī ho
na naam aatā hai ab
na koī paiġhām girtā hai chhat par
sirf yādeñ haiñ
jo har raat chupke se pūchhtī haiñ
abhī vahīñ ruke ho
aur maiñ
bas ek ḳhāmoshī oḌhe baiThā huuñ
na shikvā na savāl ab baaqī hai
jaise manzūr kar liyā ho
ki is safar kā koī sirā nahīñ
aur ab
rāsta koī nahīñ
rasta koi nahin
bas sannaTon ki lambi qataren hain
har moD par bikhri hui
ummidon ki bujhti chingariyan
kabhi kisi dar par dastak di thi
socha tha koi lauTega shayad
magar waqt
darwaza bhi sath le gaya
ab in galiyon mein
sirf mere qadmon ki aahaT hai
jaise dil har bar
KHud se ek sawal karta ho
kitni rahen dekhega
jise lauTna nahin tha
usi ki rah takte rahe 'umr bhar
jaise koi bund
sukhe dariya se mohabbat mang rahi ho
na nam aata hai ab
na koi paigham girta hai chhat par
sirf yaaden hain
jo har raat chupke se puchhti hain
abhi wahin ruke ho
aur main
bas ek KHamoshi oDhe baiTha hun
na shikwa na sawal ab baqi hai
jaise manzur kar liya ho
ki is safar ka koi sira nahin
aur ab
rasta koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.