Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

risalat

MORE BYShafiq Fatima Shera

    havā-e-bayābāñ sargoshiyāñ dhīmī dhīmī

    ki dekho sahar hai qarīb

    hazāroñ alam-hā-e-jāñ-kāh ḳhūñ-bahā

    us ke āhañg meñ rañg meñ

    us shabnam se bedār har phūlban nasīb

    sahar hai qarīb

    magar maiñ ne dekhā sahar ko bahut duur

    apnī abad-gīr lazzat meñ gum

    gul-o-barg-o-ashjār se māvarā

    zamānoñ raftār

    tāroñ ke anvār se māvarā

    bahut duur pūrab se lekin

    havā-e-bayābāñ sargoshiyoñ se qarīb

    hazāroñ alam-hā-e-jāñ kaah ḳhuuñ bahā

    us ke āhañg meñ rañg meñ

    us ke lahje dildāriyāñ haiñ ajiib

    sahar hai qarīb

    hawa-e-bayaban ki sargoshiyan dhimi dhimi

    ki dekho sahar hai qarib

    hazaron alam-ha-e-jaan-kah ka KHun-baha

    us ke aahang mein rang mein

    us ki shabnam se bedar har phulban ka nasib

    sahar hai qarib

    magar main ne dekha sahar ko bahut dur

    apni abad-gir lazzat mein gum

    gul-o-barg-o-ashjar se mawara

    zamanon ki raftar

    taron ke anwar se mawara

    bahut dur purab se lekin

    hawa-e-bayaban ki sargoshiyon se qarib

    hazaron alam-ha-e-jaan kah ka KHun baha

    us ke aahang mein rang mein

    us ke lahje ki dildariyan hain ajib

    sahar hai qarib

    Source:

    Silsila-e-makalmat (Pg. 270)

    • Author: Shafique Fatma Shora
      • Edition: 2006
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now