sarapa
ek hasīna komal komal koñpal ho jaise pīpal kī
rang gulābī halkā halkā laal parī sī shīsh-mahal kī
chaal meñ mastī aañkh meñ Dore jaise gulābī chhalkī chhalkī
siine meñ jazbāt ke tūfāñ shāne se chunrī Dhalkī Dhalkī
chup hai magar ḳhāmosh nahīñ hai hosh hai lekin hosh nahīñ hai
jaise ho bharpūr qayāmat ḳhair manāo ik ik pal kī
bal khaa.e aise matvārī jaise jhūme aam kī Daarī
haa.e re ye āvāz kā jaadū kū-kū ho jaise koyal kī
āñkheñ haiñ yā maiḳhāne haiñ nazreñ haiñ yā paimāne haiñ
ye talvāroñ kī dhāreñ haiñ yā tahrīreñ haiñ kājal kī
tīkhe naināñ bāñkī chitvan gadrāyā gadrāyā yauvan
jaise alhaḌ kī gāgariyā chhalkī ab chhalkī ab chhalkī
chust qabā kā ye 'ālam hai tan kā ik ik til hai numāyāñ
'uryāñ 'uryāñ bāheñ jaise lachkīlī shāḳheñ sandal kī
zulf jo ruḳh ko chuum ga.ī hai saarī mahfil jhuum ga.ī hai
ek nazar jis or bhī Daalī chīḳheñ niklīñ halkī halkī
baiThī hai kis husn adā se bāloñ ko gardan meñ lapeTe
jaise ghaTā ke halqe meñ ho koī surāhī gangā-jal kī
bal haiñ jabīñ ke matla’-e-avval hoñT haiñ jaise matla’-e-sānī
qad kyā kahiye she'r hai mauzūñ 'kāmil' hai tasvīr ġhazal kī
ek hasina komal komal konpal ho jaise pipal ki
rang gulabi halka halka lal pari si shish-mahal ki
chaal mein masti aankh mein Dore jaise gulabi chhalki chhalki
sine mein jazbaat ke tufan shane se chunri Dhalki Dhalki
chup hai magar KHamosh nahin hai hosh hai lekin hosh nahin hai
jaise ho bharpur qayamat KHair manao ek ek pal ki
bal khae aise matwari jaise jhume aam ki Dari
hae re ye aawaz ka jadu ku-ku ho jaise koyal ki
aankhen hain ya maiKHane hain nazren hain ya paimane hain
ye talwaron ki dhaaren hain ya tahriren hain kajal ki
tikhe nainan banki chitwan gadraya gadraya yauwan
jaise alhaD ki gagariya chhalki ab chhalki ab chhalki
chust qaba ka ye 'alam hai tan ka ek ek til hai numayan
'uryan 'uryan bahen jaise lachkili shaKHen sandal ki
zulf jo ruKH ko chum gai hai sari mahfil jhum gai hai
ek nazar jis or bhi Dali chiKHen niklin halki halki
baiThi hai kis husn ada se baalon ko gardan mein lapeTe
jaise ghaTa ke halqe mein ho koi surahi ganga-jal ki
bal hain jabin ke matla’-e-awwal honT hain jaise matla’-e-sani
qad kya kahiye she'r hai mauzun 'kaamil' hai taswir ghazal ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.