shahr azimabaad
pahle jaisā kyā vahī shahr-e-‘azīmābād hai
mat kaho ābād is ko ab to ye barbād hai
ab kahāñ vo din vo rāteñ ab kahāñ vo sohbateñ
sarzamīn-e-'shād' par har aadmī nāshād hai
jo savārī par chalā us par huī shāmat savār
ab to paidal rāsta chalnā bhī ik bedād hai
jo bhī chāhe rāsta chalnā kisī kā rok de
kaisī āzādī hai āḳhir kaisī ye uftād hai
ab to chaltī kā nahīñ ruktī kā gaaḌī naam hai
baiThnā gaaḌī ke andar qaid kī mī'ād hai
jo bhī chāhe jis ko chāhe maar kar chaltā bane
jānvar se baḌh ke ab ḳhūñḳhār ādam-zād hai
ḳhaas mujrim hai to ḳhātir jail meñ bhī ḳhaas hai
jaise ki sasurāl meñ aayā koī dāmād hai
rally hai golī hai bambārī hai rasta jaam hai
jis se suniye sab ke hoñToñ par yahī fariyād hai
sub.h kā niklā ye bolā shaam ko ghar lauT kar
phir nayā jīvan milā parbhū kā āshīrvād hai
shahr se ab gaañv tak jallādī kārobār hai
kaam us kā Thap hai jo qānūn kā jallād hai
āshiyāne se jahāñ niklā ki aayā jaal meñ
taak meñ panchhī kī baiThā muntazir sayyād hai
pahle jaisa kya wahi shahr-e-‘azimabaad hai
mat kaho aabaad is ko ab to ye barbaad hai
ab kahan wo din wo raaten ab kahan wo sohbaten
sarzamin-e-'shad' par har aadmi nashad hai
jo sawari par chala us par hui shamat sawar
ab to paidal rasta chalna bhi ek bedad hai
jo bhi chahe rasta chalna kisi ka rok de
kaisi aazadi hai aaKHir kaisi ye uftad hai
ab to chalti ka nahin rukti ka gaDi nam hai
baiThna gaDi ke andar qaid ki mi'ad hai
jo bhi chahe jis ko chahe mar kar chalta bane
jaanwar se baDh ke ab KHunKHar aadam-zad hai
KHas mujrim hai to KHatir jail mein bhi KHas hai
jaise ki sasural mein aaya koi damad hai
rally hai goli hai bambari hai rasta jam hai
jis se suniye sab ke honTon par yahi fariyaad hai
subh ka nikla ye bola sham ko ghar lauT kar
phir naya jiwan mila parbhu ka aashirwad hai
shahr se ab ganw tak jalladi karobar hai
kaam us ka Thap hai jo qanun ka jallad hai
aashiyane se jahan nikla ki aaya jal mein
tak mein panchhi ki baiTha muntazir sayyaad hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.