aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dikhao tan tan ghaDi na mohan ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai

Mohsin Khan Mohsin

dikhao tan tan ghaDi na mohan ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai

Mohsin Khan Mohsin

MORE BYMohsin Khan Mohsin

    dikhāo tan tan ghaḌī na mohan ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai

    hai chand roza ye husn-o-jauban ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai

    farāz khaTkā nasheb hai buā ye aalam fareb hai

    sadā hai ghaḌiyāl ye Than Than ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai

    kahā jo 'anqā' ne jā.ūñgī ab huzūr kal-val ko ā.ūñgī ab

    to kahte kyā haiñ pakaḌ ke dāman ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai

    na rah begam buā kashīdī jo rakkhe ranDī muā vo shīdī

    to bhī ke khel sāvan ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai

    na meḳh parde meñ gaaḌ baajī kisī se mat bigāḌ baajī

    uḌegā bād-e-fanā se chilman ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai

    ghaḌī buā das bajāne ko hai hamārā dūlhā bhī aane ko hai

    ghaḌī ghaḌī khol na rauzan ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai

    karo na tausan havā chaman meñ na Daalo san san kisī ke man meñ

    jamā jamā kar na baiTho aasan ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai

    utaar saaya pahan le saarī dikhā de jauban mīnā-kārī

    na kar naḳhre bahut firañgan ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai

    karāo jalse bulāo hamdam uḌaao chhīñTe to dam-damā-dam

    nahīñ hai dam bharosā sāqan ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai

    kisī se rakkho kapaT na khaTpaT ghaḌī kahtī hai saaf khaTpaT

    sahelī khaT se dīd-o-darshan ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai

    ġhurūr-e-bejā hai māl-o-zar ye qaul sach hai kisī bashar

    sadā-e-zar hai qaul khan-khan ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai

    paḌe na nāzuk ragoñ pe chhālā hai jild rañg kaalā kaalā

    ghaḌī kalā.ī khol bakkan ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai

    navāb kamre meñ rahe haiñ musāhib un ko banā rahe haiñ

    ghaḌī se qibla sajāo āñgan ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai

    zabān-e-mohsin hai mast qumrī ġhazal hai jaadū balā hai Thumrī

    magar kisī rahā na jauban ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai

    dikhao tan tan ghaDi na mohan ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai

    hai chand roza ye husn-o-jauban ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai

    faraaz khaTka nasheb ka hai bua ye aalam fareb ka hai

    sada hai ghaDiyal ki ye Than Than ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai

    kaha jo 'anqa' ne jaungi ab huzur kal-wal ko aaungi ab

    to kahte kya hain pakaD ke daman ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai

    na rah tu begam bua kashidi jo rakkhe ranDi mua wo shidi

    to tu bhi ja ja ke khel sawan ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai

    na meKH parde mein gaD baji kisi se tu mat bigaD baji

    uDega baad-e-fana se chilman ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai

    ghaDi bua das bajaane ko hai hamara dulha bhi aane ko hai

    ghaDi ghaDi khol tu na rauzan ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai

    karo na tausan hawa chaman mein na Dalo san san kisi ke man mein

    jama jama kar na baiTho aasan ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai

    utar saya pahan le sari dikha de jauban ki mina-kari

    na kar tu naKHre bahut firangan ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai

    karao jalse bulao hamdam uDao chhinTe to dam-dama-dam

    nahin hai dam ka bharosa saqan ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai

    kisi se rakkho kapaT na khaTpaT ghaDi ki kahti hai saf khaTpaT

    saheli khaT hi se did-o-darshan ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai

    ghurur-e-beja hai mal-o-zar ka ye qaul sach hai kisi bashar ka

    sada-e-zar ka hai qaul khan-khan ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai

    paDe na nazuk ragon pe chhaala hai jild ka rang kala kala

    ghaDi kalai ki khol bakkan ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai

    nawab kamre mein ja rahe hain musahib un ko bana rahe hain

    ghaDi se qibla sajao aangan ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai

    zaban-e-mohsin hai mast qumri ghazal hai jadu bala hai Thumri

    magar kisi ka raha na jauban ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now