mere ghar mein zanaKHi aai kab

Rangin Saadat Yaar Khan

mere ghar mein zanaKHi aai kab

Rangin Saadat Yaar Khan

MORE BY Rangin Saadat Yaar Khan

  mere ghar meñ zanāḳhī aa.ī kab

  maiñ nigoḌī bhalā nahā.ī kab

  sabr merā sameTtī hai vo

  shab ko bolī thī chārpā.ī kab

  kal zanāḳhī thī mere paas kidhar

  oḌh baiThī thī maiñ razā.ī kab

  laḌ ke muddat se vo ga.ī hai ruuTh

  merī us huī safā.ī kab

  vo nabaḳhtī to apne ghar meñ na thī

  paas us ke ga.ī thī daa.ī kab

  dauḌī lene ko maiñ use kis dam

  paañv meñ mere moch aa.ī kab

  khānā khāyā thā maiñ ne us ne kahāñ

  aur mañgvā.ī thī malā.ī kab

  thī shab maiñ ne kis jagah kañghī

  aarsī us ne thī dikhā.ī kab

  hargiz aatī nahīñ hai sāñch ko aañch

  pesh jāvegī ye baḌā.ī kab

  gūñdh kar haath paañv meñ 'rañgīñ'

  us ne mehñdī mire lagā.ī kab

  mere ghar mein zanaKHi aai kab

  main nigoDi bhala nahai kab

  sabr mera sameTti hai wo

  shab ko boli thi chaarpai kab

  kal zanaKHi thi mere pas kidhar

  oDh baiThi thi main razai kab

  laD ke muddat se wo gai hai ruTh

  meri us ki hui safai kab

  wo nabaKHti to apne ghar mein na thi

  pas us ke gai thi dai kab

  dauDi lene ko main use kis dam

  panw mein mere moch aai kab

  khana khaya tha main ne us ne kahan

  aur mangwai thi malai kab

  ki thi shab main ne kis jagah kanghi

  aarsi us ne thi dikhai kab

  hargiz aati nahin hai sanch ko aanch

  pesh jawegi ye baDai kab

  gundh kar hath panw mein 'rangin'

  us ne mehndi mere lagai kab

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Added to your favorites

  Removed from your favorites