Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir baji-jaan bhaDwe ne jhagDa kiya shurua

Mohsin Khan Mohsin

phir baji-jaan bhaDwe ne jhagDa kiya shurua

Mohsin Khan Mohsin

MORE BYMohsin Khan Mohsin

    phir baajī jaan bhaḌve ne jhagḌā kiyā shurūa

    maiñ chāhtī thī ḳhatm ho ulTā huā shurūa

    husn-o-shabāb yaar phaTnā huā shurūa

    guyyañ ġhazab ki ho gayā fitna nayā shurūa

    un ko ye ḳhabt mujh se ho āġhāz-e-dāstāñ

    maiñ is ḳhayāl meñ ki kareñ dil-rubā shurūa

    maanā ki ham ne suut ko karvā diyā haqīr

    ye to batāo kis ne ye jhagḌā kiyā shurūa

    dūlhā tāk-jhāñk ne begam jhukā diyā

    ke chauk kar diyā phir jhāñknā shurūa

    anjām jab ba-ḳhair ho tab jānūñ ḳhair hai

    dahlā rahā hai dil ko muī baat shurūa

    ham ko na chheḌo kah diyā ro ro ke varna ham

    kar deñge dūlhā yaar rahe kosnā shurūa

    phir shaiḳh-jī ne paañv nikāle haiñ peT se

    phir vo sharārteñ muā karne lagā shurūa

    kyā jaane aage chal ke vo bhaḌvā karegā kyā

    achchhā nahīñ nigoḌe jab ai buā shurūa

    kyuuñ kar na nūr-e-husn se ho chaudhvīñ chāñd

    dulhan chaud.hvāñ huā nām-e-ḳhudā shurūa

    'mohsin' nahīñ vo fitna-e-ḳhvābīda hai buā

    mujh ko ye Dar hai hashr na kar de muā shurūa

    phir baji jaan bhaDwe ne jhagDa kiya shurua

    main chahti thi KHatm ho ulTa hua shurua

    husn-o-shabab yar ka phaTna hua shurua

    guyyan ghazab ki ho gaya fitna naya shurua

    un ko ye KHabt mujh se ho aaghaz-e-dastan

    main is KHayal mein ki karen dil-ruba shurua

    mana ki hum ne sut ko karwa diya haqir

    ye to batao kis ne ye jhagDa kiya shurua

    dulha ki tak-jhank ne begam jhuka diya

    ja ja ke chauk kar diya phir jhankna shurua

    anjam jab ba-KHair ho tab jaanun KHair hai

    dahla raha hai dil ko mui baat ka shurua

    hum ko na chheDo kah diya ro ro ke warna hum

    kar denge dulha yar rahe kosna shurua

    phir shaiKH-ji ne panw nikale hain peT se

    phir wo shararten mua karne laga shurua

    kya jaane aage chal ke wo bhaDwa karega kya

    achchha nahin nigoDe ka jab ai bua shurua

    kyun kar na nur-e-husn se ho chaudhwin ka chand

    dulhan ka chaudhwan hua nam-e-KHuda shurua

    'mohsin' nahin wo fitna-e-KHwabida hai bua

    mujh ko ye Dar hai hashr na kar de mua shurua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now