KHuda ne KHalq kiya hai dawam jin ke liye
ḳhudā ne ḳhalq kiyā hai davām jin ke liye
salām un pe ki utrā salām jin ke liye
unhī ke ḳhuuñ se saped-o-siyah meñ farq huā
judā hue the kabhī sub.h-o-shām jin ke liye
zamīn par kabhī itrā ke vo nahīñ chalte
ḳhat-e-falak hai guzargāh-e-'ām jin ke liye
unhī ko pyaas kā sahrā 'ubūr karnā thā
chhalak rahe haiñ in āñkhoñ ke jaam jin ke liye
vo log shaam se pahle zamīñ ko chhoḌ ga.e
zamīñ pe roz utartī hai shaam jin ke liye
KHuda ne KHalq kiya hai dawam jin ke liye
salam un pe ki utra salam jin ke liye
unhi ke KHun se saped-o-siyah mein farq hua
juda hue the kabhi subh-o-sham jin ke liye
zamin par kabhi itra ke wo nahin chalte
KHat-e-falak hai guzargah-e-'am jin ke liye
unhi ko pyas ka sahra 'ubur karna tha
chhalak rahe hain in aankhon ke jam jin ke liye
wo log sham se pahle zamin ko chhoD gae
zamin pe roz utarti hai sham jin ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.