KHush hon rasul-e-pak bhi raazi KHuda bhi ho
ḳhush hoñ rasūl-e-pāk bhī raazī ḳhudā bhī ho
kuchh der aao zikr-e-shah-e-karbalā bhī ho
le rakh diyā qalam bhī muarriḳh ne haath se
sabr-e-husain terī koī intihā bhī ho
bīmār-o-nā-tavāñ bhī ho sardār-e-qāfila
us par sitam ye aur ki zanjīr-e-pā bhī ho
yā-rab mujhe 'atā ho mohabbat husain kī
hāthoñ meñ mere dāman-e-ḳhair-ul-varā bhī ho
sarmāya-e-hayāt hai vo ek dil 'aqīl'
jo haq-shanās bhī ho vafā-āshnā bhī ho
KHush hon rasul-e-pak bhi raazi KHuda bhi ho
kuchh der aao zikr-e-shah-e-karbala bhi ho
le rakh diya qalam bhi muarriKH ne hath se
sabr-e-husain teri koi intiha bhi ho
bimar-o-na-tawan bhi ho sardar-e-qafila
us par sitam ye aur ki zanjir-e-pa bhi ho
ya-rab mujhe 'ata ho mohabbat husain ki
hathon mein mere daman-e-KHair-ul-wara bhi ho
sarmaya-e-hayat hai wo ek dil 'aqil'
jo haq-shanas bhi ho wafa-ashna bhi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.