aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "rose"
gulo.n me.n rang bhare baad-e-nau-bahaar chalechale bhii aa.o ki gulshan kaa kaarobaar chale
kahaa.n charaaG jalaa.e.n kahaa.n gulaab rakhe.nchhate.n to miltii hai.n lekin makaa.n nahii.n miltaa
vo chiiz jis ke liye ham ko ho bahisht aziizsivaa.e baada-e-gulfaam-e-mushk-buu kyaa hai
avval avval kii mohabbat ke nashe yaad to karbe-piye bhii tiraa chehra thaa gulistaa.n jaanaa.n
ik nau-bahaar-e-naaz ko taake hai phir nigaahchehra faroG-e-mai se gulistaa.n kiye hu.e
dau.De hai phir har ek gul-o-laala par KHayaalsad-gulsitaa.n nigaah kaa saamaa.n kiye hu.e
naazukii us ke lab kii kyaa kahiyepa.nkhu.Dii ik gulaab kii sii hai
is gulistaa.n kii yahii riit hai ai shaaKH-e-gultuu ne jis phuul ko paalaa vo paraayaa hogaa
gul se lipTii hu.ii titlii ko giraa kar dekhoaa.ndhiyo tum ne daraKHto.n ko giraayaa hogaa
yuu.n uThe aah us galii se hamjaise ko.ii jahaa.n se uThtaa hai
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books