aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "shower"
pe.Do.n kii tarah husn kii baarish me.n nahaa luu.nbaadal kii tarah jhuum ke ghar aa.o kisii din
aa.nsuu jo rukaa vo kisht-e-jaa.n me.nbaarish kii misaal aa gayaa hai
tirii anjuman me.n zaalim ajab ehtimaam dekhaakahii.n zindagii kii baarish kahii.n qatl-e-aam dekhaa
buu.nd Tapkii thii magar vo buu.ndo.n baarish aur haiaisii baarish kii kabhii un ko KHabar hogii nahii.n
bujhaane ko havaa ke saath gar baarish bhii aa jaa.echaraaG-e-be-haqiiqat kii haqiiqat aur ba.Dhtii hai
ye zard patto.n kii baarish miraa zavaal nahii.nmire badan pe kisii duusre kii shaal nahii.n
jhuum rahe hai.n bhiig rahe hai.npe.D parinde manzar baarish
KHvaab ban kar tuu barastaa rahe shabnam shabnamaur bas mai.n isii mausam me.n nahaa.e jaa.uu.n
vo siidhii-saadii adaa.e.n ki bijliyaa.n barse.nvo dil-baraana muravvat ki aashiqaana lage
use kaho ki gurezaa.n na yuu.n rahe mujh semai.n ehtiyaat kii baarish me.n jal bhii saktaa huu.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books