aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "union"
aa gayaa gar vasl kii shab bhii kahii.n zikr-e-firaaqvo tiraa ro ro ke mujh ko bhii rulaanaa yaad hai
vo biga.Dnaa vasl kii raat kaa vo na maan.naa kisii baat kaavo nahii.n nahii.n kii har aan adaa tumhe.n yaad ho ki na yaad ho
be-qaraarii sii be-qaraarii haivasl hai aur firaaq taarii hai
kahnii hai mujh ko ek baat aap se ya.anii aap seaap ke shahr-e-vasl me.n lazzat-e-hijr bhii ga.ii
KHush hote hai.n par vasl me.n yuu.n mar nahii.n jaateaa.ii shab-e-hijraa.n kii tamannaa mire aage
nahii.n nigaah me.n manzil to justujuu hii sahiinahii.n visaal mayassar to aarzuu hii sahii
shabaan-e-hijraa.n daraaz chuu.n zulf o roz-e-vaslat chuu.n umr-e-kotaahsakhii piyaa ko jo mai.n na dekhuu.n to kaise kaaTuu.n a.ndherii ratiyaa.n
na aa.e raah pe vo ijz be-shumaar kiyaashab-e-visaal bhii mai.n ne to intizaar kiyaa
ha.nsaa ha.nsaa ke shab-e-vasl ashk-baar kiyaatasalliyaa.n mujhe de de ke be-qaraar kiyaa
hamaare siine me.n jo rah ga.ii thii aatish-e-hijrshab-e-visaal bhii us ko na ham-kanaar kiyaa
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books