SEARCH RESULTS
Showing search results for "andaaz-e-sitam"
MOST RELEVANT MATCHES FOR "andaaz-e-sitam"
Qita
sitam-iijaad ke andaaz-e-sitam to dekho
imtihaa.n ishq-o-havas kaa ye nayaa rakkhaa hai
Dagh Dehlvi
Ghazal
andaaz-e-sitam un kaa nihaayat hii alag hai
guzrii hai jo dil par vo qayaamat hii alag hai
Iftikhar Raghib
Ghazal
har naam har andaaz-e-sitam aam nahii.n hai
le.n lutf-e-sitam sab kaa to ye kaam nahii.n hai
Arif Nadwi
Ghazal
lutf-aamez har andaaz-e-sitam hotaa hai
dard-e-biimaar na ba.Dhtaa hai na kam hotaa hai
Syed Wajid Ali Farrukh Banarsi
MORE MATCHES FOR "andaaz-e-sitam"
Ghazal
ko.ii bhuulaa hu.aa andaaz-e-sitam yaad aayaa
ki tabassum tujhe zaalim dam-e-be-daad aayaa
Dagh Dehlvi
Ghazal
andaaz-e-sitam un kaa dekhe to ko.ii 'hasrat'
milne ko to milte hai.n nashtar se chubhote hai.n
Hasrat Jaipuri
Ghazal
bedaad-e-taGaaful se to ba.Dhtaa nahii.n Gam aur
mere liye siikho ko.ii andaaz-e-sitam aur
Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi
Ghazal
us kaa andaaz-e-sitam ham ko bahut raas aaya
varna duniyaa ke sitam aur uThaate kaise
Zahoor Ambar Quraishi
Ghazal
hai ye andaaz-e-sitam garm havaa.o.n kaa 'ziyaa'
pe.D ke jism pe baaqii nahii.n patta ko.ii
Ziya Ansari
Ghazal
zaalim ne badal Daalaa hai andaaz-e-sitam ab
pahnaataa hai ham ko hii vo zanjiir hamaarii
Mohammad Amir
Ghazal
un ke andaaz-e-sitam kaa hai taqaazaa 'baasit'
ahd kar liijiye mar mar ke jiye jaane kaa
Basit Bhopali
Ghazal
kis tarah phir ko.ii ummiid-e-karam ho dil me.n
jabki andaaz-e-sitam hausla-afzaa na hu.aa