har nam har andaz-e-sitam aam nahin hai
har naam har andāz-e-sitam aam nahīñ hai
leñ lutf-e-sitam sab kā to ye kaam nahīñ hai
is bazm meñ in'ām-e-jafā aam nahīñ hai
vo qadr-e-fazā-e-havas-e-ḳhām nahīñ hai
hai naam kī raT aur koī kaam nahīñ hai
ye zauq-e-talab kyā talab-e-ḳhām nahīñ hai
saaqī nahīñ sahbā nahīñ yā jaam nahīñ hai
pyāsoñ ko hī fikr-e-mai-e-gulfām nahīñ hai
sayyād nahīñ hai ki yahāñ daam nahīñ hai
haañ shohrat-e-bedād-e-chaman aam nahīñ hai
ye husn-e-jafā aur kā ye kaam nahīñ hai
har vaqt sitam phir bhī vo badnām nahīñ hai
ḳhālī mire hisse ke sivā jaam nahīñ hai
saaqī kā gilā phir bhī mirā kaam nahīñ hai
mai-ḳhāna khule pīr-e-muġhāñ izn bhī de de
betāb magar rind-e-mai-āshām nahīñ hai
jo sāmne le aa.e jamāl-e-ruḳh-o-kākul
kyoñ ab vo hamārī sahar-o-shām nahīñ hai
sun kar jise kaunain kā ġham tum ne bhulāyā
ab jaise in āñkhoñ meñ vo paiġhām nahīñ hai
zāhid kī 'ibādat pe bhī ab os paḌī hai
juz sajda-e-be-zauq kuchh iqdām nahīñ hai
badle hue hālāt haiñ ham ḳhud bhī badal jaa.eñ
ye bandagī-e-gardish-e-ayyām nahīñ hai
sayyād banā de jo ise rashk-e-chaman bhī
ārām qafas kā koī ārām nahīñ hai
ik sub.h-e-musalsal kā tasavvur hai mujhe bhī
suntā huuñ ki phir us kī koī shaam nahīñ hai
phir kyoñ vahī takrār-e-ta'addī-o-tasallī
andāz meñ kuchh aap ke ib.hām nahīñ hai
leñ 'ahd-e-vafā kyoñ na kashish par hai bharosā
ye rasm-e-ta'alluq to ḳhush-anjām nahīñ hai
'ārif' abhī sayyād ko bechain kiye hai
jo murġh-e-chaman ab bhī tah-e-dām nahīñ hai
har nam har andaz-e-sitam aam nahin hai
len lutf-e-sitam sab ka to ye kaam nahin hai
is bazm mein in'am-e-jafa aam nahin hai
wo qadr-e-faza-e-hawas-e-KHam nahin hai
hai nam ki raT aur koi kaam nahin hai
ye zauq-e-talab kya talab-e-KHam nahin hai
saqi nahin sahba nahin ya jam nahin hai
pyason ko hi fikr-e-mai-e-gulfam nahin hai
sayyaad nahin hai ki yahan dam nahin hai
han shohrat-e-bedad-e-chaman aam nahin hai
ye husn-e-jafa aur ka ye kaam nahin hai
har waqt sitam phir bhi wo badnam nahin hai
KHali mere hisse ke siwa jam nahin hai
saqi ka gila phir bhi mera kaam nahin hai
mai-KHana khule pir-e-mughan izn bhi de de
betab magar rind-e-mai-asham nahin hai
jo samne le aae jamal-e-ruKH-o-kakul
kyon ab wo hamari sahar-o-sham nahin hai
sun kar jise kaunain ka gham tum ne bhulaya
ab jaise in aankhon mein wo paigham nahin hai
zahid ki 'ibaadat pe bhi ab os paDi hai
juz sajda-e-be-zauq kuchh iqdam nahin hai
badle hue haalat hain hum KHud bhi badal jaen
ye bandagi-e-gardish-e-ayyam nahin hai
sayyaad bana de jo ise rashk-e-chaman bhi
aaram qafas ka koi aaram nahin hai
ek subh-e-musalsal ka tasawwur hai mujhe bhi
sunta hun ki phir us ki koi sham nahin hai
phir kyon wahi takrar-e-ta'addi-o-tasalli
andaz mein kuchh aap ke ibham nahin hai
len 'ahd-e-wafa kyon na kashish par hai bharosa
ye rasm-e-ta'alluq to KHush-anjam nahin hai
'arif' abhi sayyaad ko bechain kiye hai
jo murgh-e-chaman ab bhi tah-e-dam nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.