SEARCH RESULTS
Showing search results for "dohe"
MOST RELEVANT MATCHES FOR "dohe"
PAGE MATCHES FOR "dohe"
DICTIONARY MATCHES
MORE MATCHES FOR "dohe"
Doha
har ik baat me.n Daale hai hinduu muslim kii baat
ye naa jaane alha.D gorii prem hai KHud ik zaat
Jameeluddin Aali
Doha
siidhaa-saadhaa Daakiya jaaduu kare mahaan
ek hii thaile me.n bhare aa.nsuu aur muskaan
Nida Fazli
Doha
naino.n me.n thaa raasta hirdai me.n thaa gaa.nv
hu.ii na puurii yaatraa chhalnii ho ga.e paa.nv
Nida Fazli
Doha
chi.Diyaa ne u.D kar kahaa meraa hai aakaash
bolaa shikraa Daal se yuu.nhii hotaa kaash
Nida Fazli
Doha
mai.n bhii tuu bhii yaatrii chaltii ruktii rail
apne apne gaa.nv tak sab kaa sab se mel
Nida Fazli
Doha
kyuu.n raato.n kaa jaagiye kar ke us ko yaad
patthar dil par kab asar kartii hai fariyaad
A.D.Rahi
Nazm
ai mere watan ke KHush-nawao
phir baa.ndhe.nge abru.o.n ke dohe
phir mad.h-e-ruKH-o-dahan kahe.nge
Ahmad Faraz
Doha
bhaarii bojh pahaa.D saa kuchh halkaa ho jaa.e
jab merii chintaa ba.Dhe maa.n sapne me.n aa.e
Akhtar Nazmi
Doha
KHidmat se ustaad kii rahtaa hai jo duur
chehre par us ke nahii.n achchhaa.ii kaa nuur
Aadil Aseer Dehlvi
Doha
jiivan jiinaa kaThin hai vish piinaa aasaan
insaa.n ban kar dekh lo o 'sha.nkar' bhagvaan

