SEARCH RESULTS
Showing search results for "talab-gaar-e-kul"
MOST RELEVANT MATCHES FOR "talab-gaar-e-kul"
Ghazal
mai.n na Gam-KHvaar-e-shahanshaa na talab-gaar-e-kul
mujh pe kis vaaste aashob-e-qayaamat utraa
Mohsin Ehsan
Ghazal
tere ye jaa.n-nisaar-o-talab-gaar dekh kar
hairaa.n huu.n ek anaar sau biimaar dekh kar
Havi Momin Abadi
MORE MATCHES FOR "talab-gaar-e-kul"
Ghazal
vo KHaam hai jo talab-gaar-e-jaam hai saaqii
tirii nazar hai hame.n to musabbib-ul-asbaab
Zaheen Shah Taji
Ghazal
dil hai yuu.n be-dilii-e-hosh ke haatho.n larzaa.n
ko.ii qaatil se talab-gaar-e-amaa.n ho jaise
Shaanul Haq Haqqi
Ghazal
vo mohabbat-aafrii.n detaa hai hasb-e-zarf-e-ishq
phir kisii se bhii talab-gaar-e-vafaa hotaa nahii.n
Makhmoor Dehlvi
Nazm
naya aazar
mirii rafiiq-e-tarab-gaah terii aamad par
na.e suro.n me.n na.e giit gaa.e the mai.n ne
Mustafa Zaidi
Ghazal
Gam-fursati-e-KHvaab-e-tarab yaad rahegii
guzrii jo tire saath vo shab yaad rahegii
Nasir Kazmi
Ghazal
ai daulat-e-sukuu.n ke talab-gaar dekhnaa
shabnam se jal gayaa hai gulistaa.n kabhii kabhii
Qabil Ajmeri
Ghazal
jalvo.n kaa un ke dil ko talab-gaar kar diyaa
ai shauq kis balaa me.n giraftaar kar diyaa