Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jalwon ka un ke dil ko talab-gar kar diya

Basheeruddin Raaz

jalwon ka un ke dil ko talab-gar kar diya

Basheeruddin Raaz

MORE BYBasheeruddin Raaz

    Interesting Fact

    April 1952, Mushaira Shikohabad

    jalvoñ un ke dil ko talab-gār kar diyā

    ai shauq kis balā meñ giraftār kar diyā

    ik ho gayā izāfa mirī zindagī meñ aur

    tum ne jo dil ko mā.il-e-āzār kar diyā

    dil mujhe ḳhabar hai na dil ko mirī ḳhabar

    milte aañkh kyā nigah-e-yār kar diyā

    dil-bastagī ke vāste dil ko lagāyā thā

    ummīd hasratoñ ne ik āzār kar diyā

    rakh junūñ ne baat mirī un ke sāmne

    har aable se ḳhaar numūdār kar diyā

    haiñ saḳhtiyāñ baḌhī huī zindāñ meñ āj-kal

    do-gām chalnā bhī mujhe dushvār kar diyā

    ye kaisā rog dil ko lagā intizār

    āñkhoñ ko un tālib-e-dīdār kar diyā

    kis ne karam kiyā ye mire hāl-e-zār par

    is be-ḳhudī-e-ishq se hoshyār kar diyā

    maiñ ne chhupāyā laakh magar ashk-e-ġham ne aah

    ai 'rāz' rāz-e-shauq iz.hār kar diyā

    jalwon ka un ke dil ko talab-gar kar diya

    ai shauq kis bala mein giraftar kar diya

    ek ho gaya izafa meri zindagi mein aur

    tum ne jo dil ko mail-e-azar kar diya

    dil ki mujhe KHabar hai na dil ko meri KHabar

    milte hi aankh kya nigah-e-yar kar diya

    dil-bastagi ke waste dil ko lagaya tha

    ummid hasraton ne ek aazar kar diya

    rakh li junun ne baat meri un ke samne

    har aable se KHar numudar kar diya

    hain saKHtiyan baDhi hui zindan mein aaj-kal

    do-gam chalna bhi mujhe dushwar kar diya

    ye kaisa rog dil ko laga intizar ka

    aankhon ko un ka talib-e-didar kar diya

    kis ne karam kiya ye mere haal-e-zar par

    is be-KHudi-e-ishq se hoshyar kar diya

    main ne chhupaya lakh magar ashk-e-gham ne aah

    ai 'raaz' raaz-e-shauq ka izhaar kar diya

    Source:

    Shan-e-watan (Pg. B-93 E-91)

    • Author: Basheeruddin Raaz
      • Edition: 1995
      • Publisher: Maktaba Shan-e-Hindi, Delhi
      • Year of Publication: 1955
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now