SEARCH RESULTS
Showing search results for ",LGfe"
Sher MATCHES FOR ",lGfe"
Sher
lutf-e-shab-e-mah ai dil us dam mujhe haasil ho
ik chaa.nd baGal me.n ho ik chaa.nd muqaabil ho
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
Nooh Narvi
Sher
sirf alfaaz pe mauquuf nahii.n lutf-e-suKHan
aa.nkh KHaamosh agar hai to zabaa.n kuchh bhii nahii.n
Moghisuddin Fareedi
Sher
chho.Dnaa hai to na ilzaam lagaa kar chho.Do
kahii.n mil jaa.o to phir lutf-e-mulaaqaat rahe
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
lutf-e-bahaar kuchh nahii.n go hai vahii bahaar
dil hii uja.D gayaa ki zamaana uja.D gayaa
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
yaa guftuguu ho un lab-o-ruKHsaar-o-zulf kii
yaa un KHamosh nazro.n ke lutf-e-suKHan kii baat
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
ibtidaa-e-ishq hai lutf-e-shabaab aane ko hai
sabr ruKHsat ho rahaa hai iztiraab aane ko hai
Fani Badayuni
Sher
josh-e-junuu.n me.n lutf-e-tasavvur na puuchhiye
phirte hai.n saath saath unhe.n ham liye hu.e
Jaleel Manikpuri
Sher
KHushii hii shart nahii.n lutf-e-zindagii ke liye
mataa-e-Gam bhii zaruurii hai aadmii ke liye
Akhtar Muslimi
Sher
kyaa lutf-e-dostii ki nahii.n lutf-e-dushmanii
dushman ko bhii jo dekhiye puuraa kahaa.n hai ab
Dagh Dehlvi
Sher
safar na ho to ye lutf-e-safar hai be-ma.anii
badan na ho to bhalaa kyaa qabaa me.n rakkhaa hai
Krishna Kumar Toor
Sher
ham jaante hai.n lutf-e-taqaazaa-e-mai-farosh
vo naqd me.n kahaa.n jo mazaa hai udhaar me.n
Riyaz Khairabadi
Sher
tanhaa uThaa luu.n mai.n bhii zaraa lutf-e-gumrahii
ai rahnumaa mujhe mirii qismat pe chho.D de
Shah Deen Humayun
Sher
us ne gaalii mujhe dii ho ke itaab-aaluuda
aur mai.n saada use lutf-e-zabaanii samjhaa