SEARCH RESULTS
Showing search results for ",OSNk"
Sher MATCHES FOR ",osnk"
Sher
Nida Fazli
Sher
ye ishq nahii.n aasaa.n itnaa hii samajh liije
ik aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai
Jigar Moradabadi
Sher
aa.nkh se duur na ho dil se utar jaa.egaa
vaqt kaa kyaa hai guzartaa hai guzar jaa.egaa
Ahmad Faraz
Sher
ishq par zor nahii.n hai ye vo aatish 'Gaalib'
ki lagaa.e na lage aur bujhaa.e na bane
Mirza Ghalib
Sher
rago.n me.n dau.Dte phirne ke ham nahii.n qaa.il
jab aa.nkh hii se na Tapkaa to phir lahuu kyaa hai
Mirza Ghalib
Sher
ishq se tabii.at ne ziist kaa mazaa paayaa
dard kii davaa paa.ii dard-e-be-davaa paayaa
Mirza Ghalib
Sher
maktab-e-ishq kaa dastuur niraalaa dekhaa
us ko chhuTTii na mile jis ko sabaq yaad rahe
Meer Tahir Ali Rizvi
Sher
kabhii to chau.nk ke dekhe ko.ii hamaarii taraf
kisii kii aa.nkh me.n ham ko bhii intizaar dikhe