SEARCH RESULTS
Showing search results for "براق"
Sher MATCHES FOR "براق"
Sher
hazaar barq gire laakh aa.ndhiyaa.n uTThe.n
vo phuul khil ke rahe.nge jo khilne vaale hai.n
Sahir Ludhianvi
Sher
tumhaare shahr kaa mausam ba.Daa suhaanaa lage
mai.n ek shaam churaa luu.n agar buraa na lage
Qaisarul Jafri
Sher
saamne hai jo use log buraa kahte hai.n
jis ko dekhaa hii nahii.n us ko KHudaa kahte hai.n
Sudarshan Faakir
Sher
Mirza Ghalib
Sher
Anwar Shuoor
Sher
'Gaalib' buraa na maan jo vaa.iz buraa kahe
aisaa bhii ko.ii hai ki sab achchhaa kahe.n jise
Mirza Ghalib
Sher
ai sanam vasl kii tadbiiro.n se kyaa hotaa hai
vahii hotaa hai jo manzuur-e-KHudaa hotaa hai
Mirza Raza Barq
Sher
Iftikhar Arif
Sher
buraa bure ke alaava bhalaa bhii hotaa hai
har aadmii me.n ko.ii duusraa bhii hotaa hai
Anwar Shuoor
Sher
nigaah barq nahii.n chehra aaftaab nahii.n
vo aadmii hai magar dekhne kii taab nahii.n
Jaleel Manikpuri
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
shah-zor apne zor me.n girtaa hai misl-e-barq
vo tifl kyaa giregaa jo ghuTno.n ke bal chale
Mirza Azeem Beg 'Azeem'
Sher
hamaare aib ne be-aib kar diyaa ham ko
yahii hunar hai ki ko.ii hunar nahii.n aataa
Mirza Raza Barq
Sher
bahut udaas thaa us din magar hu.aa kyaa thaa
har ek baat bhalii thii to phir buraa kyaa thaa