SEARCH RESULTS
Showing search results for "تقریب"
Sher MATCHES FOR "تقریب"
Sher
eid kaa chaa.nd jo dekhaa to tamannaa lipTii
un se taqriib-e-mulaaqaat kaa rishta niklaa
Rahmat Qarni
Sher
lo Duubto.n ne dekh liyaa naaKHudaa ko aaj
taqriib kuchh to bahr-e-mulaaqaat ho ga.ii
Zehra Nigaah
Sher
siikhe hai.n mah-ruKHo.n ke liye ham musavvarii
taqriib kuchh to bahr-e-mulaaqaat chaahiye
Mirza Ghalib
Sher
vo jis ke haath se taqriib-e-dil-numaa.ii thii
abhii vo lamha-e-maujuud me.n nahii.n aayaa
Faheem Shanas Kazmi
Sher
coat aur patluun jab pahnaa to mister ban gayaa
jab ko.ii taqriir kii jalse me.n leader ban gayaa
Akbar Allahabadi
Sher
aagahii daam-e-shuniidan jis qadar chaahe bichhaa.e
mudda.aa anqaa hai apne aalam-e-taqriir kaa
Mirza Ghalib
Sher
dekhnaa taqriir kii lazzat ki jo us ne kahaa
mai.n ne ye jaanaa ki goyaa ye bhii mere dil me.n hai
Mirza Ghalib
Sher
har ek kuucha hai saakit har ik sa.Dak viiraa.n
hamaare shahar me.n taqriir kar gayaa ye kaun
Shamim Shahzad
Sher
dil TuuT ke hii aaKHir bantaa hai kisii qaabil
taKHriib ke parde me.n ta.amiir nazar aa.ii
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
Sher
uljhaa hai magar zulf me.n taqriir kaa lachhaa
suljhii hu.ii ham ne na sunii baat tumhaarii
Muneer Shikohabadi
Sher
taKHriib ke parde me.n hii ta.amiir hai saaqii
shiisha ko.ii pighlaa hai to paimaana banaa hai