SEARCH RESULTS
Showing search results for "دائم"
Sher MATCHES FOR "دائم"
Sher
ik karb kaa mausam hai jo daa.im hai abhii tak
ik hijr kaa qissa ki mukammal nahii.n hotaa
Mohammad Mustahsan Jami
Sher
mujh ko ye dard viraasat me.n milaa hai daa.em
shaa.erii qarz hai mujh par jo adaa kartaa huu.n
Hamza Daim
Sher
Deepak Purohit
Sher
guftuguu me.n vo halaavat vo amal me.n iKHlaas
us kii hastii pe farishte kaa gumaa.n ho jaise
Daem Gawwasi
Sher
din to shikam kii aag bujhaane me.n jaa.e hai
shukr-e-KHudaa ki kaTtii hai daanishvaro.n me.n raat
Daem Gawwasi
Sher
Abdul Hamid Adam
Sher
Mirza Ghalib
Sher
kuchh log jo KHaamosh hai.n ye soch rahe hai.n
sach bole.nge jab sach ke zaraa daam ba.Dhe.nge
Kamal Ahmad Siddiqi
Sher
uljhaa hai paa.nv yaar kaa zulf-e-daraaz me.n
lo aap apne daam me.n sayyaad aa gayaa
Momin Khan Momin
Sher
zindagii jin ke tasavvur se jilaa paatii thii
haa.e kyaa log the jo daam-e-ajal me.n aa.e
Nasir Kazmi
Sher
aagahii daam-e-shuniidan jis qadar chaahe bichhaa.e
mudda.aa anqaa hai apne aalam-e-taqriir kaa
Mirza Ghalib
Sher
na rahe baaG-e-jahaa.n me.n kabhii aaraam se ham
pha.ns ga.e qaid-e-qafas me.n jo chhuTe daam se ham
Santokh Rai Betab
Sher
ab use log samajhte hai.n giraftaar miraa
saKHt naadim hai mujhe daam me.n laane vaalaa
Ahmad Faraz
Sher
inkaar kar rahaa huu.n to qiimat buland hai
bikne pe aa gayaa to giraa de.nge daam log
Nafas Ambalvi
Sher
daam-e-har-mauj me.n hai halqa-e-sad-kaam-e-naha.ng
dekhe.n kyaa guzre hai qatre pe guhar hote tak
Mirza Ghalib
Sher
biktaa to nahii.n huu.n na mire daam bahut hai.n
raste me.n pa.Daa huu.n ki uThaa ko.ii aa kar
Adeem Hashmi
Sher
hazaar daam se niklaa huu.n ek jumbish me.n
jise Guruur ho aa.e kare shikaar mujhe