SEARCH RESULTS
Showing search results for "سر_بزم_طرب"
Sher MATCHES FOR "سر_بزم_طرب"
Sher
tirii bazm-e-tarab me.n aa gayaa huu.n
magar dil ko sukuu.n haasil nahii.n hai
Mahesh Chandra Naqsh
Sher
viiraan zindagii ke ye lamhe ajiib hai.n
bazm-e-tarab me.n dhuum hai furqat dhamaal se
Baharunnisa Bahar
Sher
kisii kii bazm-e-tarab me.n hayaat baTtii thii
umiid-vaaro.n me.n kal maut bhii nazar aa.ii
Firaq Gorakhpuri
Sher
is ne dekhaa hai sar-e-bazm sitamgar kii tarah
phuul phe.nkaa bhii mirii samt to patthar kii tarah
Anjum Irfani
Sher
ko.ii ha.ngaama sar-e-bazm uThaayaa jaa.e
kuchh kiyaa jaa.e charaaGo.n ko bujhaayaa jaa.e
Zehra Nigaah
Sher
merii rusvaa.ii agar saath na detii meraa
yuu.n sar-e-bazm mai.n izzat se nikaltaa kaise
Akhtar Shumar
Sher
hamii.n hai.n soz hamii.n saaz hai.n hamii.n naGma
zaraa sambhal ke sar-e-bazm chhe.Dnaa ham ko
Moin Ahsan Jazbi
Sher
haq baat sar-e-bazm bhii kahne me.n ta.ammul
haq baat sar-e-daar kaho sochte kyaa ho
Wahid Premi
Sher
mirii ha.nsii ko sar-e-bazm sah liyaa us ne
phir us ke baa'd akele me.n intiqaam liyaa
Mukhtar Tilhari
Sher
tum hame.n harf-e-Galat kah ke miTaa bhii na sake
ab bhii har lab pe sar-e-bazm hai charchaa apnaa
Masooda Hayat
Sher
Zia-ul-Haq Qasmi
Sher
jab tiraa qaamat-e-sho.ala-numaa pahu.nchaa sar-e-bazm
saare hii shaiKH kha.De ho ga.e iimaan-ba-kaf
Ameen Tirmizi
Sher
Javed Vashisht
Sher
sayyaargaa.n me.n 'ajab iztiraab barpaa hai
vo ban-sa.nvar ke sar-e-baam aa rahe ho.nge
Kazim Rizvi
Sher
sunte hai.n chamaktaa hai vo chaa.nd ab bhii sar-e-baam
hasrat hai ki bas ek nazar dekh le.n ham bhii
Zuhoor Nazar
Sher
Anwar Mirzapuri
Sher
mai.n vo gardan-zadanii huu.n ki tamaashe ko mire
shahr ke log kha.De hai.n ba-sar-e-baam tamaam
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
kal bazm me.n sab par nigah-e-lutf-o-karam thii
ik merii taraf tuu ne sitamgaar na dekhaa