SEARCH RESULTS
Showing search results for "موا"
Sher MATCHES FOR "موا"
Sher
miir us qaazii ke lau.nDe ke liye aaKHir mu.aa
sab ko qaziya us ke jiine kaa thaa baare chuk gayaa
Meer Taqi Meer
Sher
mu.aa mai.n sajde me.n par naqsh meraa baar rahaa
us aastaa.n pe mirii KHaak se Gubaar rahaa
Meer Taqi Meer
Sher
maanaa ki terii diid ke qaabil nahii.n huu.n mai.n
tuu meraa shauq dekh miraa intizaar dekh
Allama Iqbal
Sher
un ke dekhe se jo aa jaatii hai mu.nh par raunaq
vo samajhte hai.n ki biimaar kaa haal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Sher
Bashir Badr
Sher
mohabbato.n me.n dikhaave kii dostii na milaa
agar gale nahii.n miltaa to haath bhii na milaa
Bashir Badr
Sher
KHudaa kii itnii ba.Dii kaa.enaat me.n mai.n ne
bas ek shaKHs ko maa.ngaa mujhe vahii na milaa
Bashir Badr
Sher
itnii miltii hai mirii Gazlo.n se suurat terii
log tujh ko miraa mahbuub samajhte ho.nge
Bashir Badr
Sher
tumhaaraa hijr manaa luu.n agar ijaazat ho
mai.n dil kisii se lagaa luu.n agar ijaazat ho
Jaun Eliya
Sher
Bashir Badr
Sher
nasha pilaa ke giraanaa to sab ko aataa hai
mazaa to jab hai ki girto.n ko thaam le saaqii
Allama Iqbal
Sher
Khumar Barabankavi
Sher
jab bhii aataa hai miraa naam tire naam ke saath
jaane kyuu.n log mire naam se jal jaate hai.n
Qateel Shifai
Sher
ishq se tabii.at ne ziist kaa mazaa paayaa
dard kii davaa paa.ii dard-e-be-davaa paayaa