SEARCH RESULTS
Showing search results for "یخ"
Sher MATCHES FOR "یخ"
Sher
Noshi Gilani
Sher
saamne aa.nkho.n ke phir yaKH-basta manzar aa.egaa
dhuup jam jaa.egii aa.ngan me.n december aa.egaa
Sultan Akhtar
Sher
yaKH-basta shab guzaar kabhii tuu bhii hijr me.n
merii tarah kisii se mavaddat tujhe bhii ho
Mohammad Mustahsan Jami
Sher
Saleem Ahmed
Sher
ye to sochaa hii na thaa yaKH-basta lamho.n kaa sukuut
ek din TuuTegaa aur sang-e-sadaa ho jaa.egaa
Moid Rasheedi
Sher
yaKH-basta ho chukii hai.n umiido.n kii bastiyaa.n
in me.n tire badan kii haraarat kahaa.n se laa.e.n
Tabish Hamdoon Usmani
Sher
kisii ke lahje kii yaKH-bastagii qayaamat thii
ThiThur ke rah gayaa lab par savaal kaa mausam
Arshi Malik
Sher
ham ko ma.aluum hai jannat kii haqiiqat lekin
dil ke KHush rakhne ko 'Gaalib' ye KHayaal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Sher
hu.aa hai tujh se bichha.Dne ke baa'd ye maa'luum
ki tuu nahii.n thaa tire saath ek duniyaa thii
Ahmad Faraz
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
ham ko miTaa sake ye zamaane me.n dam nahii.n
ham se zamaana KHud hai zamaane se ham nahii.n
Jigar Moradabadi
Sher
ye ishq nahii.n aasaa.n itnaa hii samajh liije
ik aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai
Jigar Moradabadi
Sher
dushmanii jam kar karo lekin ye gunjaa.ish rahe
jab kabhii ham dost ho jaa.e.n to sharminda na ho.n
Bashir Badr
Sher
ye na thii hamaarii qismat ki visaal-e-yaar hotaa
agar aur jiite rahte yahii intizaar hotaa
Mirza Ghalib
Sher
ham to samjhe the ki ham bhuul ga.e hai.n un ko
kyaa hu.aa aaj ye kis baat pe ronaa aayaa
Sahir Ludhianvi
Sher
gilaa bhii tujh se bahut hai magar mohabbat bhii
vo baat apnii jagah hai ye baat apnii jagah