SEARCH RESULTS
Showing search results for "आह-ए-ना-मुराद"
Sher MATCHES FOR "आह-ए-ना-मुराद"
Sher
is daur-e-naa-muraad se ye tajraba hu.aa
diivaar guftuguu ke liye behtariin hai
Rana Amir Liyaqat
Sher
intizaam-e-roz-e-ishrat aur kar ai naa-muraad
iid aatii hii rahii maah-e-siyaam aa hii gayaa
Natiq Gulavthi
Sher
aah-e-be-asar niklii naala naa-rasaa niklaa
ik KHudaa pe takiya thaa vo bhii aap kaa niklaa
Aziz Qaisi
Sher
Meer Hasan
Sher
ham ko milii hai ishq se ik aah-e-soz-naak
vo bhii usii kii garmii-e-baazaar ke liye
Raza Azimabadi
Sher
Gam-KHaan-e-jahaa.n me.n vaq.at hii kyaa hamaarii
ik naa-shuniida uf hai.n ik aah-e-be-asar hai.n
Akbar Allahabadi
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
aap ho.n ham ho.n mai-e-naab ho tanhaa.ii ho
dil me.n rah rah ke ye armaan chale aate hai.n
Bekhud Dehlvi
Sher
vahm-o-gumaa.n ne aas ba.ndhaa.ii tamaam raat
aahaT KHiraam-e-naaz kii aa.ii tamaam raat
Jalee Amrohvi
Sher
jahaa.n me.n ho ga.ii naa-haq tirii jafaa badnaam
kuchh ahl-e-shauq ko daar-o-rasan se pyaar bhii hai
Aale Ahmad Suroor
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
dost-daar-e-dushman hai e'timaad-e-dil ma.aluum
aah be-asar dekhii naala naa-rasaa paayaa
Mirza Ghalib
Sher
naa-muraadii se mire dil kii KHalish kam na hu.ii
tishnagii aur ba.Dhii hasrat-e-naakaam ke ba.ad
Khursheed Alig
Sher
ashko.n ke tasalsul ne chhupaayaa tan-e-uryaa.n
ye aab-e-ravaa.n kaa hai nayaa pairahan apnaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
rone pe agar aa.uu.n to dariyaa ko Dubo duu.n
qatra ko.ii samjhe na mire diida-e-nam ko