SEARCH RESULTS
Showing search results for "इंतिज़ार-ए-यार"
Sher MATCHES FOR "इंतिज़ार-ए-यार"
Sher
yuu.n intizaar-e-yaar me.n ham umr bhar rahe
jaise nazar Gariib kii allaah par rahe
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
paa-bos-e-yaar kii hame.n hasrat hai ai nasiim
aahista aa.iiyo tuu hamaare mazaar par
Rangin Saadat Yaar Khan
Sher
anjaam-e-hijr kyaa hai ye tum KHud hii dekh lo
ham intizaar-e-yaar me.n patthar ke ho ga.e
Moid Rahbar Lakhnavi
Sher
ye na thii hamaarii qismat ki visaal-e-yaar hotaa
agar aur jiite rahte yahii intizaar hotaa
Mirza Ghalib
Sher
ai intizaar-e-sub.h-e-tamannaa ye kyaa hu.aa
aataa hai ab KHayaal bhii teraa thakaa hu.aa
Khurshid Ahmad Jami
Sher
maqaam 'faiz' ko.ii raah me.n jachaa hii nahii.n
jo kuu-e-yaar se nikle to suu-e-daar chale
Faiz Ahmad Faiz
Sher
'aadil' saje hu.e hai.n sabhii KHvaab KHvaan par
aur intizaar-e-KHalq-e-KHudaa kar rahe hai.n ham
Zulfiqar Aadil
Sher
ye aarzuu bhii ba.Dii chiiz hai magar hamdam
visaal-e-yaar faqat aarzuu kii baat nahii.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Aatif Waheed Yasir
Sher
nahii.n ilaaj-e-Gam-e-hijr-e-yaar kyaa kiije
ta.Dap rahaa hai dil-e-be-qaraar kiyaa kiije
Jigar Barelvi
Sher
Abdul Hai Aarfi
Sher
kitnaa hai bad-nasiib 'zafar' dafn ke liye
do gaz zamiin bhii na milii kuu-e-yaar me.n
Bahadur Shah Zafar
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
kyuu.n jal gayaa na taab-e-ruKH-e-yaar dekh kar
jaltaa huu.n apnii taaqat-e-diidaar dekh kar