SEARCH RESULTS
Showing search results for "एजाज़-ए-मसीहा"
Sher MATCHES FOR "एजाज़-ए-मसीहा"
Sher
rah-e-hayaat me.n laakho.n the ham-safar 'ejaaz'
kisii ko yaad rakhaa aur kisii ko bhuul ga.e
Ejaaz Ahamd
Sher
ha.ngaam-e-qanaa.at dil-e-murda hu.aa zinda
mazmuun-e-qum e.ajaaz-e-lab-e-naan-e-javii.n thaa
Ahmad Husain Mail
Sher
sochaa hai ki ab kaar-e-masiihaa na kare.nge
vo KHuun bhii thuukegaa to parvaa na kare.nge
Jaun Eliya
Sher
nabz-e-biimaar jo ai rashk-e-masiihaa dekhii
aaj kyaa aap ne jaatii hu.ii duniyaa dekhii
Ameer Minai
Sher
ejaaz-e-jaa.n-dahii hai hamaare kalaam ko
zinda kiyaa hai ham ne masiihaa ke naam ko
Momin Khan Momin
Sher
phuulo.n ko gulistaa.n me.n kab raas bahaar aa.ii
kaa.nTo.n ko milaa jab se ejaaz-e-masiihaa.ii
Figar Unnavi
Sher
saugand hai hasrat mujhe ejaaz-e-suKHan kii
ye sehr hai.n jaaduu hai.n na ash.aar hai.n tere
Hasrat Azimabadi
Sher
kuchh na kahne se bhii chhin jaataa hai ejaaz-e-suKHan
zulm sahne se bhii zaalim kii madad hotii hai
Muzaffar Warsi
Sher
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
asar ye tere anfaas-e-masiihaa.ii kaa hai 'akbar'
allahabad se la.ngDaa chalaa lahore tak pahu.nchaa
Akbar Allahabadi
Sher
kaun le daad-e-masiihaa.ii mire zaKHmo.n se
aur hai kaun mire shahr me.n tere jaisaa
Muzammil Abbas Shajar
Sher
ab hayaat-e-insaa.n kaa hashr dekhiye kyaa ho
mil gayaa hai qaatil ko mansab-e-masiihaa.ii
Shahid Siddiqui
Sher
shaayad aa jaa.e kabhii dekhne vo rashk-e-masiih
mai.n kisii aur se is vaaste achchhaa na hu.aa
Anwar Taban
Sher
Jamal Abbas Fahmi
Sher
qabr me.n raahat se so.e the na thaa mahshar kaa KHauf
ba.az aa.e ai masiihaa ham tire e.ajaaz se
Bhartendu Harishchandra
Sher
kyaa kare merii masiihaa.ii bhii karne vaalaa
zaKHm hii ye mujhe lagtaa nahii.n bharne vaalaa
Parveen Shakir
Sher
Behzad Lakhnavi
Sher
Gam de gayaa nashaat-e-shanaasaa.ii le gayaa
vo apne saath apnii masiihaa.ii le gayaa