SEARCH RESULTS
Showing search results for "एतिमाद"
Sher MATCHES FOR "एतिमाद"
Sher
har shaKHs par kiyaa na karo itnaa e'timaad
har saaya-daar shai ko shajar mat kahaa karo
Muzaffar Warsi
Sher
jaan tujh par kuchh e'timaad nahii.n
zindagaanii kaa kyaa bharosaa hai
Khan Arzoo Sirajuddin Ali
Sher
ye e'timaad bhii meraa diyaa hu.aa hai tumhe.n
jo mere mashvare be-kaar jaane lag ga.e hai.n
Azhar Faragh
Sher
kabhii uruuj pe thaa KHud pe e'timaad miraa
Guruub kaise hu.aa hai ye aaftaab na puuchh
Khushbir Singh Shaad
Sher
iimaa.n bhii laaj rakh na sakaa mere jhuuT kii
apne KHudaa pe kitnaa mujhe e'timaad thaa
Himayat Ali Shayar
Sher
lafzo.n ko e'timaad kaa lahja bhii chaahiye
zikr-e-sahar bajaa hai yaqiin-e-sahar bhii hai
Mohsin Bhopali
Sher
mai.n apne aap la.Duu.ngaa samundaro.n se ja.ng
ab e'timaad mujhe apne naaKHudaa pe nahii.n
Mubeen Mirza
Sher
qaanuun jaise kho chukaa sadiyo.n kaa e'timaad
ab kaun dekhtaa hai KHataa kaa hai ruKH kidhar
Nusrat Gwaliari
Sher
mai.n aa.ndhiy.o.n se la.Daa thaa is e'timaad ke saath
daraKHt TuuT bhii jaa.e to kaam aataa hai
Dr. Yasin Aatir
Sher
thaa e'timaad-e-husn se tuu is qadar tahii
aa.iina dekhne kaa tujhe hausla na thaa
Arif Abdul Mateen
Sher
dost-daar-e-dushman hai e'timaad-e-dil ma.aluum
aah be-asar dekhii naala naa-rasaa paayaa
Mirza Ghalib
Sher
vo jhuuT bol rahaa thaa ba.De saliiqe se
mai.n e'tibaar na kartaa to aur kyaa kartaa
Waseem Barelvi
Sher
musaafiro.n se mohabbat kii baat kar lekin
musaafiro.n kii mohabbat kaa e'tibaar na kar
Umar Ansari
Sher
ab in huduud me.n laayaa hai intizaar mujhe
vo aa bhii jaa.e.n to aa.e na e'tibaar mujhe