SEARCH RESULTS
Showing search results for "जमुना"
Sher MATCHES FOR "जमुना"
Sher
jo sunte hai.n ki tire shahr me.n dashraa hai
ham apne ghar me.n divaalii sajaane lagte hai.n
Jamuna Parsad Rahi
Sher
Jamuna Parsad Rahi
Sher
kashtiyaa.n Duub rahii hai.n ko.ii saahil laa.o
apnii aa.nkhe.n mirii aa.nkho.n ke muqaabil laa.o
Jamuna Parsad Rahi
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
gaa.nv se guzregaa aur miTTii ke ghar le jaa.egaa
ek din dariyaa sabhii diivaar o dar le jaa.egaa
Jamuna Parsad Rahi
Sher
lauT bhii aayaa to sadiyo.n kii thakan laa.egaa
sub.h kaa bhuulaa hu.aa shaam ko ghar aane tak
Jamuna Parsad Rahi
Sher
ajiib aag lagaa kar ko.ii ravaana hu.aa
mire makaan ko jalte hu.e zamaana hu.aa
Jamuna Parsad Rahi
Sher
sadiyo.n kaa intishaar fasiilo.n me.n qaid thaa
dastak ye kis ne dii ki imaarat bikhar ga.ii
Jamuna Parsad Rahi
Sher
kaun hai tujh saa jo baa.nTe mirii din bhar kii thakan
muzmahil raat hai bistar kaa badan dukhtaa hai
Jamuna Parsad Rahi
Sher
har ruuh pas-e-parda-e-tartiib-e-anaasir
naa-karda gunaaho.n kii sazaa kaaT rahii hai
Jamuna Parsad Rahi
Sher
amaa.n kise thii mire saa.e me.n jo ruktaa ko.ii
KHud apnii aag me.n jaltaa hu.aa shajar thaa mai.n
Jamuna Parsad Rahi
Sher
Abdul Wahab yakro
Sher
havaa kii god me.n mauj-e-saraab bhii hogii
gire.nge phuul to Thahregii gard shaaKHo.n par
Jamuna Parsad Rahi
Sher
mai.n lafz-e-KHaam huu.n ko.ii ki tarjumaan-e-Gazal
ye faisla kisii taaza kitaab par Thahraa
Jamuna Parsad Rahi
Sher
samand-e-KHvaab vahaa.n chho.D kar ravaana hu.aa
jahaa.n suraaG-e-safar ko.ii naqsh-e-paa na hu.aa
Jamuna Parsad Rahi
Sher
chupke chupke raat din aa.nsuu bahaanaa yaad hai
ham ko ab tak aashiqii kaa vo zamaanaa yaad hai
Hasrat Mohani
Sher
ham ko miTaa sake ye zamaane me.n dam nahii.n
ham se zamaana KHud hai zamaane se ham nahii.n
Jigar Moradabadi
Sher
us ko judaa hu.e bhii zamaana bahut hu.aa
ab kyaa kahe.n ye qissa puraanaa bahut hu.aa
Ahmad Faraz
Sher
ik lafz-e-mohabbat kaa adnaa ye fasaanaa hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai