SEARCH RESULTS
Showing search results for "तआला"
Sher MATCHES FOR "तआला"
Sher
jamhuuriyat ik tarz-e-hukuumat hai ki jis me.n
bando.n ko ginaa karte hai.n taulaa nahii.n karte
Allama Iqbal
Sher
yaar ko mai.n ne mujhe yaar ne sone na diyaa
raat bhar taala-e-bedaar ne sone na diyaa
Haidar Ali Aatish
Sher
puurii aavaaz se ik roz pukaaruu.n tujh ko
aur phir merii zabaa.n par tiraa taalaa lag jaa.e
Zafar Iqbal
Sher
dastak dene vaale tujh ko ilm nahii.n
darvaaze ke dono.n jaanib taalaa hai
Mohammad Mustahsan Jami
Sher
merii fikr kii KHushbuu qaid ho nahii.n saktii
yuu.n to mere ho.nTo.n par maslahat kaa taalaa hai
Salam Machhli shahri
Sher
tire javaahir-e-tarf-e-kulah ko kyaa dekhe.n
ham auj-e-taala-e-laal-o-gohar ko dekhte hai.n
Mirza Ghalib
Sher
vo jo ik tolaa ka.ii maasha thii yaarii tum se
rattii bhar bhii na rahaa is me.n kuchh aasaar kahii.n
nayan sukh
Sher
Yasmeen Habeeb
Sher
vo ek la.Dkii jo mar rahii hai hayaa ke maare
vo ek la.Dkaa jo dekhne par tulaa hu.aa hai
Naeem Sarmad
Sher
ko.ii mojazaatii saa ek dil-rubaa lamha
us ke ho.nT khul jaa.e.n mere lab pe taalaa ho