SEARCH RESULTS
Showing search results for "लुत्फ़-ए-रवानी"
Sher MATCHES FOR "लुत्फ़-ए-रवानी"
Sher
Mirza Ali Lutf
Sher
kashtii-e-mai ko hukm-e-ravaanii bhii bhej do
jab aag bhej dii hai to paanii bhii bhej do
Josh Malihabadi
Sher
ham jaante hai.n lutf-e-taqaazaa-e-mai-farosh
vo naqd me.n kahaa.n jo mazaa hai udhaar me.n
Riyaz Khairabadi
Sher
lutf-e-shab-e-mah ai dil us dam mujhe haasil ho
ik chaa.nd baGal me.n ho ik chaa.nd muqaabil ho
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
kyaa lutf-e-dostii ki nahii.n lutf-e-dushmanii
dushman ko bhii jo dekhiye puuraa kahaa.n hai ab
Dagh Dehlvi
Sher
mazaa hai ahd-e-javaanii me.n sar paTakne kaa
lahuu me.n phir ye ravaanii rahe rahe na rahe
Chakbast Braj Narayan
Sher
Naseem Dehlvi
Sher
kabhii mai.n jur.at-e-iz.haar-e-mudda.aa to karuu.n
ko.ii javaaz to ho lutf-e-be-sabab ke liye
Syed Aabid Ali Aabid
Sher
paiGaam-e-lutf-e-KHaas sunaanaa basant kaa
dariyaa-e-faiz-e-aam bahaanaa basant kaa
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
Sher
sirf alfaaz pe mauquuf nahii.n lutf-e-suKHan
aa.nkh KHaamosh agar hai to zabaa.n kuchh bhii nahii.n
Moghisuddin Fareedi
Sher
chho.Dnaa hai to na ilzaam lagaa kar chho.Do
kahii.n mil jaa.o to phir lutf-e-mulaaqaat rahe
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
lutf-e-bahaar kuchh nahii.n go hai vahii bahaar
dil hii uja.D gayaa ki zamaana uja.D gayaa