SEARCH RESULTS
Showing search results for "सफ़र-ए-शौक़"
Sher MATCHES FOR "सफ़र-ए-शौक़"
Sher
safar-e-shauq hai bujhte hu.e sahraa.o.n me.n
aag marham hai mire paa.nv ke chhaalo.n ke liye
Shahzad Ahmad
Sher
vo bulaate to hai.n mujh ko magar ai jazba-e-dil
shauq itnaa bhii na ba.Dh jaa.e ki jaa.e na bane
A. D. Azhar
Sher
daastaan-e-shauq kitnii baar dohraa.ii ga.ii
sun.ne vaalo.n me.n tavajjoh kii kamii paa.ii ga.ii
Aale Ahmad Suroor
Sher
jahaa.n me.n ho ga.ii naa-haq tirii jafaa badnaam
kuchh ahl-e-shauq ko daar-o-rasan se pyaar bhii hai
Aale Ahmad Suroor
Sher
ham ruuh-e-safar hai.n hame.n naamo.n se na pahchaan
kal aur kisii naam se aa jaa.e.nge ham log
Razi Akhtar Shauq
Sher
daad-e-safar milii hai kise raah-e-shauq me.n
ham ne miTaa diye hai.n nishaa.n apne paa.nv ke
Qateel Shifai
Sher
mahv-e-diid-e-chaman-e-shauq hai phir diida-e-shauq
gul-e-shaadaab vahii bulbul-e-shaidaa hai vahii
Ghulam Bhik Nairang
Sher
jazba-e-be-iKHtiyaar-e-shauq dekhaa chaahiye
siina-e-shamshiir se baahar hai dam shamshiir kaa
Mirza Ghalib
Sher
kuchh is qadar nahii.n safar-e-hastii-o-adam
gar paa.nv uThaa.iye to ye arsa hai do qadam
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
musaafiraan-e-rah-e-shauq sust-e-gaam ho kyuu.n
qadam ba.Dhaa.e hu.e haa.n qadam ba.Dhaa.e hu.e
Saba Akbarabadi
Sher
diidanii hai ye saraasiimgii-e-diida-e-shauq
ki tire dar pe kha.De hai.n tiraa dar yaad nahii.n
Ijtiba Rizvi
Sher
apnii tasviir-e-majaazii ko.ii rakh do ki kahii.n
kaarvaan-e-nigah-e-shauq ko manzil ho jaa.e
Ijtiba Rizvi
Sher
be-KHud-e-shauq huu.n aataa hai KHudaa yaad mujhe
raasta bhuul ke baiThaa huu.n sanam-KHaane kaa
Natiq Gulavthi
Sher
na rahii be-KHudi-e-shauq me.n itnii bhii KHabar
hijr achchhaa hai ki 'mahruum' visaal achchhaa hai