SEARCH RESULTS
Showing search results for "सुर्ख़ी-ए-तहरीर"
Sher MATCHES FOR "सुर्ख़ी-ए-तहरीर"
Sher
Ibn e Insha
Sher
pak.De jaate hai.n farishto.n ke likhe par naa-haq
aadmii ko.ii hamaaraa dam-e-tahriir bhii thaa
Mirza Ghalib
Sher
naqsh fariyaadii hai kis kii shoKHi-e-tahriir kaa
kaaGzii hai pairahan har paikar-e-tasviir kaa
Mirza Ghalib
Sher
log andaaza lagaa.e.nge amal se mere
mai.n huu.n kaisaa mire maathe pe ye tahriir nahii.n
Heera Lal Falak Dehlvi
Sher
Safeer Bilgrami
Sher
mai-KHaana salaamat hai to ham surKHii-e-mai se
taz.iin-e-dar-o-baam-e-haram karte rahe.nge
Faiz Ahmad Faiz
Sher
pii baada-e-ahmar to ye kahne lagaa gul-ruu
mai.n surKH huu.n tum surKH zamii.n surKH zamaa.n surKH
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
aagahii daam-e-shuniidan jis qadar chaahe bichhaa.e
mudda.aa anqaa hai apne aalam-e-taqriir kaa
Mirza Ghalib
Sher
jab hu.aa garm-e-kalaam-e-muKHtasar mahkaa diyaa
itr khii.nchaa yaar ke lab ne gul-e-taqriir kaa
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
KHuub-ruu kaun ye aayaa chaman me.n aaj ki yaa.n
sharm se surKH hu.e jaate hai.n ye phuul sabhii
Deepak Purohit
Sher
ye ishq ke KHutuut bhii kitne ajiib hai.n
aa.nkhe.n vo pa.Dh rahii hai.n jo tahriir bhii nahii.n
Nafas Ambalvi
Sher
hujuum-e-hashr me.n kholuu.ngaa adl kaa daftar
abhii to faisle tahriir kar rahaa huu.n mai.n
Abdul Hamid Adam
Sher
piirii me.n 'riyaaz' ab bhii javaanii ke maze hai.n
ye riish-e-safed aur mai-e-hosh-rubaa surKH
Riyaz Khairabadi
Sher
dho ke tuu meraa lahuu apne hunar ko na chhupaa
ki ye surKHii tirii shamshiir kaa jauhar hii to hai
Zeb Ghauri
Sher
naira.ngiyaa.n falak kii jabhii hai.n ki ho.n baham
kaalii ghaTaa safed pyaale sharaab-e-surKH
Bayan Meeruthi
Sher
ko.ii hai surKH-posh ko.ii zard-posh hai
aa dekh bazm me.n ki hu.ii hai bahaar-e-jaam