SEARCH RESULTS
Showing search results for "हिज्र-ए-यार"
Sher MATCHES FOR "हिज्र-ए-यार"
Sher
nahii.n ilaaj-e-Gam-e-hijr-e-yaar kyaa kiije
ta.Dap rahaa hai dil-e-be-qaraar kiyaa kiije
Jigar Barelvi
Sher
ai shaam-e-hijr-e-yaar mirii tuu gavaahii de
mai.n tere saath saath rahaa ghar nahii.n gayaa
Azeem Haider Syed
Sher
maa.ngaa kare.nge ab se du.aa hijr-e-yaar kii
aaKHir to dushmanii hai asar ko du.aa ke saath
Momin Khan Momin
Sher
ab kyuu.n gila rahegaa mujhe hijr-e-yaar kaa
be-taabiyo.n se lutf uThaane lagaa huu.n mai.n
Hadi Machlishahri
Sher
Muneer Niyazi
Sher
har shaaKH zard o surKH o siyah hijr-e-yaar me.n
Daste hai.n dil ko aan ke juu.n naag ai basant
Insha Allah Khan Insha
Sher
paa-bos-e-yaar kii hame.n hasrat hai ai nasiim
aahista aa.iiyo tuu hamaare mazaar par
Rangin Saadat Yaar Khan
Sher
shab-e-firaaq kuchh aisaa KHayaal-e-yaar rahaa
ki raat bhar dil-e-Gam-diida be-qaraar rahaa
Hijr Nazim Ali Khan
Sher
kah do ye kohkan se ki marnaa nahii.n kamaal
mar mar ke hijr-e-yaar me.n jiinaa kamaal hai
Jaleel Manikpuri
Sher
ai hijr vaqt Tal nahii.n saktaa hai maut kaa
lekin ye dekhnaa hai ki miTTii kahaa.n kii hai
Hijr Nazim Ali Khan
Sher
Ibn e Insha
Sher
Siraj Aurangabadi
Sher
ai yaad-e-yaar dekh ki baa-vasf-e-ranj-e-hijr
masruur hai.n tirii KHalish-e-naa-tavaa.n se ham
Hasrat Mohani
Sher
ye na thii hamaarii qismat ki visaal-e-yaar hotaa
agar aur jiite rahte yahii intizaar hotaa
Mirza Ghalib
Sher
maqaam 'faiz' ko.ii raah me.n jachaa hii nahii.n
jo kuu-e-yaar se nikle to suu-e-daar chale
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ye aarzuu bhii ba.Dii chiiz hai magar hamdam
visaal-e-yaar faqat aarzuu kii baat nahii.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
bahut dino.n me.n kahii.n hijr-e-maah-o-saal ke ba.ad
rukaa hu.aa hai zamaana tire visaal ke ba.ad