SEARCH RESULTS
Showing search results for ".eca"
Sher MATCHES FOR ".eca"
Sher
kitnii mazaahiya hai ye botal ke jin kii baat
aaqaa ab inqalaab hai do chaar din kii baat
Aziz Faisal
Sher
tire salaam ke dhaj dekh kar mire dil ne
shitaab aaqaa mujhe ruKHsatii salaam kiyaa
Siraj Aurangabadi
Sher
kuchh der dum hilaa.iye aaqaa ke saamne
phailaa ke paa.nv ghar pe phir aaraam kiijiye
Asrar jamayee
Sher
ek muddat se tirii yaad bhii aa.ii na hame.n
aur ham bhuul ga.e ho.n tujhe aisaa bhii nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
apnii anaa kii aaj bhii taskiin ham ne kii
jii bhar ke us ke husn kii tauhiin ham ne kii
Iqbal Sajid
Sher
hayaa se sar jhukaa lenaa adaa se muskuraa denaa
hasiino.n ko bhii kitnaa sahl hai bijlii giraa denaa
Akbar Allahabadi
Sher
karuu.ngaa kyaa jo mohabbat me.n ho gayaa naakaam
mujhe to aur ko.ii kaam bhii nahii.n aataa
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
jo kahaa mai.n ne ki pyaar aataa hai mujh ko tum par
ha.ns ke kahne lagaa aur aap ko aataa kyaa hai
Akbar Allahabadi
Sher
duniyaa kii mahfilo.n se uktaa gayaa huu.n yaa rab
kyaa lutf anjuman kaa jab dil hii bujh gayaa ho
Allama Iqbal
Sher
nasha pilaa ke giraanaa to sab ko aataa hai
mazaa to jab hai ki girto.n ko thaam le saaqii
Allama Iqbal
Sher
agar tumhaarii anaa hii kaa hai savaal to phir
chalo mai.n haath ba.Dhaataa huu.n dostii ke liye