SEARCH RESULTS
Showing search results for ".jahs"
Sher MATCHES FOR ".jahs"
Sher
had se ba.Dhe jo ilm to hai jahl dosto
sab kuchh jo jaante hai.n vo kuchh jaante nahii.n
Khumar Barabankavi
Sher
aql kahtii hai dobaara aazmaanaa jahl hai
dil ye kahtaa hai fareb-e-dost khaate jaa.iye
Mahirul Qadri
Sher
Chakbast Braj Narayan
Sher
nahii.n hai der yahaa.n apnii jaan jaane me.n
tumhaare aane kaa bas intizaar baaqii hai
Mirza Asman Jah Anjum
Sher
zabaan-e-haal se ye lucknow kii KHaak kahtii hai
miTaayaa gardish-e-aflaak ne jaah-o-hasham meraa
Chakbast Braj Narayan
Sher
kuchh nahii.n ma.aluum hotaa dil kii uljhan kaa sabab
kis ko dekhaa thaa ilaahii baal suljhaate hu.e
Mirza Asman Jah Anjum
Sher
baa.is-e-tark-e-mulaaqaat bataa.o to sahii
chaahne vaalaa ko.ii ham saa dikhaa.o to sahii
Mirza Asman Jah Anjum
Sher
na tasallii na tashaffii na dilaasaa na vafaa
umr ko kaaTe.n tire chaahne vaale kyuu.n-kar
Mirza Asman Jah Anjum
Sher
mai.n ne maanaa ki dil nahii.n naakaam
phir mire kaam kyuu.n nahii.n aataa
Mirza Asman Jah Anjum
Sher
shab-e-hijr jab KHvaab dekhaa ye dekhaa
ki tujh ko gale se lagaa.e hu.e hai.n
Mirza Asman Jah Anjum
Sher
unhe.n haal-e-dil kis tarah likh ke bheje.n
na ham un se vaaqif na vo ham se vaaqif
Mirza Asman Jah Anjum
Sher
khul kar aaKHir jahl kaa elaan honaa chaahiye
haq-parasto.n ke liye zindaan honaa chaahiye
Fariha Naqvi
Sher
haath TuuTe.n jo chhu.aa bhii ho haath
dukh ga.ii un kii kalaa.ii kyuu.n-kar
Mirza Asman Jah Anjum
Sher
tuufaan-e-jahl ne miraa jauhar miTaa diyaa
mai.n ik kitaab KHuub huu.n par aab-diida huu.n