SEARCH RESULTS
Showing search results for ".lqb"
Sher MATCHES FOR ".lqb"
Sher
jahaa.n me.n hone ko ai dost yuu.n to sab hogaa
tire labo.n pe mire lab ho.n aisaa kab hogaa
Shahryar
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
so dekh kar tire ruKHsaar o lab yaqii.n aayaa
ki phuul khilte hai.n gulzaar ke alaava bhii
Ahmad Faraz
Sher
rusvaa hu.e zaliil hu.e dar-ba-dar hu.e
haq baat lab pe aa.ii to ham be-hunar hu.e
Khaleel Tanveer
Sher
kahne detii nahii.n kuchh mu.nh se mohabbat merii
lab pe rah jaatii hai aa aa ke shikaayat merii
Dagh Dehlvi
Sher
un se kah do mujhe KHaamosh hii rahne de 'vasiim'
lab pe aa.egii to har baat giraa.n guzregii
Waseem Barelvi
Sher
Ghaus Khah makhah Hyderabadi
Sher
ab us kii shakl bhii mushkil se yaad aatii hai
vo jis ke naam se hote na the judaa mire lab
Ahmad Mushtaq
Sher
mil ga.e the ek baar us ke jo mere lab se lab
'umr bhar ho.nTo.n pe apne mai.n zabaa.n pheraa kiyaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
ye samajh ke maanaa hai sach tumhaarii baato.n ko
itne KHuub-suurat lab jhuuT kaise bole.nge
Shahzad Ahmad
Sher
Allama Iqbal
Sher
bosa jo ruKH kaa dete nahii.n lab kaa diijiye
ye hai masal ki phuul nahii.n pa.nkhu.Dii sahii
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
be-KHatar kuud pa.Daa aatish-e-namruud me.n ishq
aql hai mahv-e-tamaashaa-e-lab-e-baam abhii
Allama Iqbal
Sher
dikhaa ke jumbish-e-lab hii tamaam kar ham ko
na de jo bosa to mu.nh se kahii.n javaab to de