SEARCH RESULTS
Showing search results for ".muaj"
Sher MATCHES FOR ".muaj"
Sher
be-KHudii me.n le liyaa bosa KHataa kiije mu.aaf
ye dil-e-betaab kii saarii KHataa thii mai.n na thaa
Meerza Abul Muzaffar Zafar
Sher
mu.aaf kar na sakii merii zindagii mujh ko
vo ek lamha ki mai.n tujh se ta.ng aayaa thaa
Jan Nisar Akhtar
Sher
ye faiz-e-ishq thaa ki hu.ii har KHataa mu.aaf
vo KHush na ho sake to KHafaa bhii na ho sake
Makhmoor Jalandhari
Sher
naaseh KHataa mu.aaf sune.n kyaa bahaar me.n
ham iKHtiyaar me.n hai.n na dil iKHtiyaar me.n
Munshi Amirullah Tasleem
Sher
rakhiyo 'Gaalib' mujhe is talKH-navaa.ii me.n mu.aaf
aaj kuchh dard mire dil me.n sivaa hotaa hai
Mirza Ghalib
Sher
de gayaa KHuub sazaa mujh ko ko.ii kar ke mu.aaf
sar jhukaa aise ki taa-umr uThaayaa na gayaa
Sada Ambalvi
Sher
KHudaa mu.aaf kare saare munsifo.n ke gunaah
ham hii ne shart lagaa.ii thii haar jaane kii
Nomaan Shauque
Sher
miir us qaazii ke lau.nDe ke liye aaKHir mu.aa
sab ko qaziya us ke jiine kaa thaa baare chuk gayaa
Meer Taqi Meer
Sher
vaa.iz KHataa-mu.aaf ki rindaan-e-mai-kada
dil ke sivaa kisii kaa kahaa maante nahii.n
Karam Hyderabadi
Sher
sair-e-bahaar-e-baaG se ham ko mu.aaf kiijiye
us ke KHayaal-e-zulf se 'dard' kise faraaG hai
Khwaja Meer Dard
Sher
mu.aa mai.n sajde me.n par naqsh meraa baar rahaa
us aastaa.n pe mirii KHaak se Gubaar rahaa
Meer Taqi Meer
Sher
puuchhaa hai haal-e-zaar to sun lo KHataa-mu.aaf
kuchh baat mere ho.nTo.n me.n hai kuchh zabaan me.n