SEARCH RESULTS
Showing search results for ".mudl"
Sher MATCHES FOR ".mudl"
Sher
Parveen Shakir
Sher
aaKHir du.aa kare.n bhii to kis mudda.aa ke saath
kaise zamii.n kii baat kahe.n aasmaa.n se ham
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
safar me.n ko.ii kisii ke liye Thahartaa nahii.n
na mu.D ke dekhaa kabhii saahilo.n ko dariyaa ne
Farigh Bukhari
Sher
mu.D ke dekhaa to hame.n chho.D ke jaatii thii hayaat
ham ne jaanaa thaa ko.ii bojh giraa hai sar se
Zahida Zaidi
Sher
us kii aa.ankho.n me.n bhii kaajal phail rahaa hai
mai.n bhii mu.D ke jaate jaate dekh rahaa huu.n
Javed Akhtar
Sher
maaluum sab hai puuchhte ho phir bhii mudda.aa
ab tum se dil kii baat kahe.n kyaa zabaa.n se ham
Hasrat Mohani
Sher
chubhan ye piiTh me.n kaisii hai mu.D ke dekh to le
kahii.n ko.ii tujhe piichhe se dekhtaa hogaa
Sheen Kaaf Nizam
Sher
'vasiim' dekhnaa mu.D mu.D ke vo usii kii taraf
kisii ko chho.D ke jaanaa bhii to nahii.n aayaa
Waseem Barelvi
Sher
manzil milii muraad milii mudda.aa milaa
sab kuchh mujhe milaa jo tiraa naqsh-e-paa milaa