SEARCH RESULTS
Showing search results for ".rawi"
Sher MATCHES FOR ".rawi"
Sher
Galat-ravii ko tirii mai.n Galat samajhtaa huu.n
ye bevafaa.ii bhii shaamil mirii vafaa me.n hai
Asim Wasti
Sher
KHud mujh ko bhii taa-der KHabar ho nahii.n paa.ii
aaj aa.ii tirii yaad is aahista-ravii se
Firaq Gorakhpuri
Sher
Farhat Ehsas
Sher
qadam qadam pe mai.n sambhlaa huu.n Thokare.n khaa kar
ye Thokaro.n ne bataayaa Galat-ravii kyaa hai
Urooj Zaidi Badayuni
Sher
farsh-e-mai-KHaana pe jalte chale jaate hai.n charaaG
diidanii hai tirii aahista-ravii ai saaqii
Firaq Gorakhpuri
Sher
pahchaan bhii sakii na mirii zindagii mujhe
itnii ravaa-ravii me.n kahii.n saamnaa hu.aa
Khurshid Ahmad Jami
Sher
vaqt-e-ravaa-ravii hai uThe qaafila ke log
saaqii chale piyaala jahaa.n tak ki bas chale
Munshi Amirullah Tasleem
Sher
KHirad kii rah jo chalaa mai.n to dil ne mujh se kahaa
aziiz-e-man ''ba-salaamat-ravii o baaz-aa.ii''
Abdul Ahad Saaz
Sher
un ko ye shikaayat hai ki mai.n mu.D ke na aa.ii
qadmo.n kii mire sust-ravii vo nahii.n samjhe
Ameeta Parsuram Meeta
Sher
qaafile vaalo.n ko khaa jaa.egii ye sust-ravii
saarbaano.n ko subuk-KHez kare.n chalte chale.n
Asad Awan
Sher
kitne jazbe tirii be-raah-ravii ne kuchle
harf-e-aavaara zaraa dekh ke chal kaaGaz par
Juned Azar
Sher
Khwaja Meer Dard
Sher
jaane vaale se mulaaqaat na hone paa.ii
dil kii dil me.n hii rahii baat na hone paa.ii
Shakeel Badayuni
Sher
dil ke phaphuule jal uThe siine ke daaG se
is ghar ko aag lag ga.ii ghar ke charaaG se