SEARCH RESULTS
Showing search results for "Daaliye"
Sher MATCHES FOR "Daaliye"
Sher
but-KHaana to.D Daaliye masjid ko Dhaa.iye
dil ko na to.Diye ye KHudaa kaa maqaam hai
Haidar Ali Aatish
Sher
apne gale me.n apnii hii baa.nho.n ko Daaliye
jiine kaa ab to ek yahii Dha.ng rah gayaa
Zaheer Kashmiri
Sher
jii chaahtaa hai us but-e-kaafir ke ishq me.n
tasbiih to.D Daaliye zunnaar dekh kar
Aagha Akbarabadi
Sher
Bashir Badr
Sher
ye ishq nahii.n aasaa.n itnaa hii samajh liije
ik aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai
Jigar Moradabadi
Sher
ishrat-e-qatra hai dariyaa me.n fanaa ho jaanaa
dard kaa had se guzarnaa hai davaa ho jaanaa
Mirza Ghalib
Sher
Garaz ki kaaT diye zindagii ke din ai dost
vo terii yaad me.n ho.n yaa tujhe bhulaane me.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
shadiid pyaas thii phir bhii chhu.aa na paanii ko
mai.n dekhtaa rahaa dariyaa tirii ravaanii ko
Shahryar
Sher
kah rahaa hai shor-e-dariyaa se samundar kaa sukuut
jis kaa jitnaa zarf hai utnaa hii vo KHaamosh hai
Natiq Lakhnavi
Sher
daaG duniyaa ne diye zaKHm zamaane se mile
ham ko tohfe ye tumhe.n dost banaane se mile
Kaif Bhopali
Sher
judaa.iyo.n ke zaKHm dard-e-zindagii ne bhar diye
tujhe bhii nii.nd aa ga.ii mujhe bhii sabr aa gayaa
Nasir Kazmi
Sher
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
bahut Guruur hai dariyaa ko apne hone par
jo merii pyaas se uljhe to dhajjiyaa.n u.D jaa.e.n