SEARCH RESULTS
Showing search results for "Dhah"
Sher MATCHES FOR "Dhah"
Sher
dair o haram bhii Dhah ga.e jab dil nahii.n rahaa
sab dekhte hii dekhte viiraana ho gayaa
Yagana Changezi
Sher
raat to vaqt kii paaband hai Dhal jaa.egii
dekhnaa ye hai charaaGo.n kaa safar kitnaa hai
Waseem Barelvi
Sher
hame.n hai shauq ki be-parda tum ko dekhe.nge
tumhe.n hai sharm to aa.nkho.n pe haath dhar lenaa
Dagh Dehlvi
Sher
Mohsin Naqvi
Sher
shaam Dhalne se faqat shaam nahii.n Dhaltii hai
umr Dhal jaatii hai jaldii palaT aanaa mire dost
Ashfaq Nasir
Sher
mai.n badalte hu.e haalaat me.n Dhal jaataa huu.n
dekhne vaale adaakaar samajhte hai.n mujhe
Shahid Zaki
Sher
ghar me.n rahte hu.e Gairo.n kii tarah hotii hai.n
la.Dkiyaa.n dhaan ke paudo.n kii tarah hotii hai.n
Munawwar Rana
Sher
kuchh duur tak to chamkii thii mere lahuu kii dhaar
phir raat apne saath bahaa le ga.ii mujhe
Zeb Ghauri
Sher
na ho qamiiz to paa.nv se peT Dhak le.nge
ye log kitne munaasib hai.n is safar ke liye
Dushyant Kumar
Sher
aatii hai dhaar un ke karam se shu.uur me.n
dushman mile hai.n dost se behtar kabhii kabhii
Aale Ahmad Suroor
Sher
Allama Iqbal
Sher
Gair se duur magar us kii nigaaho.n ke qarii.n
mahfil-e-yaar me.n is Dhab se alag baiThaa huu.n
Peer Nasiruddin Shah Naseer
Sher
kyaa kahuu.n diida-e-tar ye to miraa chehraa hai
sa.ng kaT jaate hai.n baarish kii jahaa.n dhaar gire