SEARCH RESULTS
Showing search results for "Dher"
Sher MATCHES FOR "Dher"
Sher
hame.n har vaqt ye ehsaas daaman-giir rahtaa hai
pa.De hai.n Dher saare kaam aur mohlat zaraa sii hai
Khurshid Talab
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
jaam hai tauba-shikan tauba mirii jaam-shikan
saamne Dher hai.n TuuTe hu.e paimaano.n ke
Riyaz Khairabadi
Sher
raakh ke Dher pe kyaa sho.ala-bayaanii karte
ek qisse kii bhalaa kitnii kahaanii karte
Irfan Sattar
Sher
Talnaa thaa mere paas se ai kaahilii tujhe
kam-baKHt tuu to aa ke yahii.n Dher ho ga.ii
Mirza Hadi Ruswa
Sher
ham log to aKHlaaq bhii rakh aa.e hai.n 'saahil'
raddii ke isii Dher me.n aadaab pa.De the
KHalid Malik Sahil
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
baiThe jo us galii me.n na mar kar bhii uTThe ham
ik Dher gir ke ho ga.e diivaar kii tarah
Kishan Kumaar Waqaar
Sher
patthar ke jism me.n tujhe itnaa kiyaa talaash
'mansuur' Dher lag ga.e ghar me.n kabaa.D ke
Mansoor Aafaque
Sher
un sa.ng-zano.n me.n ko.ii apnaa bhii thaa shaayad
jo Dher se ye qiimtii patthar nikal aa.e
Anjum Khaleeq
Sher
merii baa.nho.n me.n bahakne kii sazaa bhii sun le
ab bahut der me.n aazaad karuu.ngaa tujh ko
Jaun Eliya
Sher
hame.n hai shauq ki be-parda tum ko dekhe.nge
tumhe.n hai sharm to aa.nkho.n pe haath dhar lenaa