SEARCH RESULTS
Showing search results for "Duub"
Sher MATCHES FOR "Duub"
Sher
ye ishq nahii.n aasaa.n itnaa hii samajh liije
ik aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai
Jigar Moradabadi
Sher
apne man me.n Duub kar paa jaa suraaG-e-zindagii
tuu agar meraa nahii.n bantaa na ban apnaa to ban
Allama Iqbal
Sher
suuraj huu.n zindagii kii ramaq chho.D jaa.uu.ngaa
mai.n Duub bhii gayaa to shafaq chho.D jaa.uu.ngaa
Iqbal Sajid
Sher
hasii.n terii aa.nhke.n hasii.n tere aa.nsuu
yahii.n Duub jaane ko jii chaahtaa hai
Jigar Moradabadi
Sher
Allama Iqbal
Sher
tum mere liye itne pareshaan se kyuu.n ho
mai.n Duub bhii jaataa to kahii.n aur ubhartaa
Muneer Niyazi
Sher
kashtii chalaa rahaa hai magar kis adaa ke saath
ham bhii na Duub jaa.e.n kahii.n naa-KHudaa ke saath
Abdul Hamid Adam
Sher
hammaam ke aa.iine me.n shab Duub rahii thii
cigarette se na.e din kaa dhu.aa.n phail rahaa thaa
Adil Mansuri
Sher
vo the javaab ke saahil pe muntazir lekin
samay kii naav me.n meraa savaal Duub gayaa
Bekal Utsahi
Sher
pukaarte hai.n unhe.n saahilo.n ke sannaaTe
jo log Duub ga.e kashtiyaa.n banaate hu.e